08 October 2009

Radha naam ati sukh paawan......

Radha naam ati sukh paawan
Garmi mein rahat jaise saawan
surat dekh baar-2 jee lalchaye
Poonam ka chanda jaise man-bhawan....

Prit lagai jabse radha priy se hai
bas radha-2 nikale hiy se hai
Tujhse mera rishta juda jiy se hai
Mand-2 hassi teri har dukh haaran
Radha naam ati sukh paawan....

Kabhi maa to kabhi sakhi meri radha
Main to hu bin tere aadha
Teer pyaar ka mujh par tumne aesa sadha
Haara sab kuch apna bin wajah bin kaaran
Radha naam ati sukh paawan....

Aaya tere charano mein hey radha
Kar har dukh door har baadha
Vinamarr binti karta banda ye seeha saada
Bas ek naam tera bhav-sagar taaran
Radha naam ati sukh paawan....
******************
"Diggaj Dave "