18 January 2010

ja raha tha dur mujse mera vo hmsaaya.....

Un lamho ko un kadmo ko
Main rok nahi paya
Ja raha tha door mujhse
Mera wo humsaaya

Bheegi si unki palke thi
Ye aankhe bhi kuch num thi
Ho raha tha kya ye sab
Main samjh nahi paaya
Ja raha tha door mujhse
Mera wo humsaaya

Wo shaam kuch ajnabi si thi
ye saansein kuch thami si thi
hokar bhi wo mere saath na thi
bikhare-2 lafzo mein mein usne
aakhir wo sab keh dala
Ja raha tha door mujhse
Mera wo humsaaya

Aesa bhi nahi use pyaar na tha
Mujhe par use ethbaar na tha
Halat uski bhi achi na thi
aas uske ruk jane ki
bachhi na thi
Khilne se pehle hi is gulshan ka
Phool tha murjhaya
Ja raha tha door mujhse
Mera wo humsaaya 


Bas aakhiri wo lamha tha
chal diya wo us raah
Jahaan usko chalna tha
Kuch mud-2 kar
thoda ruk-2 kar aankho
se moti giraa raha tha
Ek pal mein in aankho se ojhal
Wo chehra kahi dhoondhala gaya
Chala gaya wo door mujhse
mera wo humsaaya


written by Diggaj Dave

No comments:

Post a Comment