Tujhe paana mumkin nahi ab
Par Ish jazbah-a-dil ko samjhaye kaun
Seene ki ish tapish ko
Ab aaker bhujhaye kaun
Kitni naayaab hai mohabbat meri
Ishke daam tujhe bataye kaun
Bankar rafeeq mere tumne
Jo dagaa ki hai saath mere
Wafa bhi kuch cheez hai ish duniya mein
Tumhe wafaa sikhaye kaun
Sabq mil gaya hamein
Tujhse dil lagane ka
Magar ish aankho k sailaab ko
Ab rok paaye kaun
Tujhe paana mumkin nahi ab
Par Ish jazbah-a-dil ko samjhaye kaun
Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha
Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
No comments:
Post a Comment