Khuda Kii Iss Duniya Mein
Koi Inssan Kyu Bukha Rehta Hain
Ekk Roti Kaa Khawaab Sajaaye
Kyu Wo Sadak Per Sota Hain
Na Hai Koi Aashiya Uska
Na Rehne Ka Koi Thhikana Hain
Chhat Hai Us Par Ambar Kii
Aur Sadak Hii Uska Bichhona Hain
Odhkar Wo Chand Kii Chandni
Isi Umeed Se Sota Hain
Ekk Roti Kaa Khawaab Sajaaye
Kyu Wo Sadak Par Sota Hain
Jab Kisi Gareeb Kaa Bachha
Bhookh Ke Liye Rota Hain
Sarddi Kii Thandi Raato Mein
Khud Mein Hii Simat Kar Sota Hain
Rote Bilakhte Bachhe Ko
Thhand Mein Sikute Bachhe Ko
Uski Maa Apne Kaleje Se Laga Leti Hain
Kal Dhoodh Pilaane Ka Bahana Kar Ke
Usko Ekk Aur Nayaa Khwaab Dikhati Hain
Kal Use Kuch Mile Naa Mile
Bas Wo Use Ekk Jhhuti Aas Dilati Hain
Ye Sab Dekhkar Mera Dil Pal-2 Rota Hain
Ekk Roti Kaa Khawaab Sajaaye
Kyu Wo Sadak Par Sota Hain
Khuda Kii Is Duniya Mein
Koi Inssan Kyu Bukha Rehta Hain
Ekk Roti Kaa Khawaab Sajaaye
Kyu Wo Sadak Par Sota Hain
No comments:
Post a Comment