Door Takk Naa Koi Apnna Hai
Oas Ki Tarah Dhundhla Hua Mera Sapnna Hai
Nazar Jaha Takk Bhi Jaati Hai Meri
Ajnabiyo Se Bhari Yeh Duniya Hai
Harr Mehfil Meri Tanha Hai
Meri Aur Mere Gumm Ki Duniya Hai
Sarrd Raatein Hai Aur Tim-Timate Taare Hai
Hum Bhi Khudd Mein Hi Simat Se Jaate Hai
Mere Khwabo Mein Saaye Ki Tarah Chale Aate Hai
Kuch Pal Tharte Hai Aur Chale Jaate Hai
Oas Ki Dhundhlahat Mein Firr Kahi Kho Jaate Hai
Kuch Pal Hum Bhi Bebas Ho Jaate Hai
Kuch Aansoo Bahate Hai
Aur Hum Bhi Us Oas Mein Kahi Gum Ho Jaate Hai….
No comments:
Post a Comment