13 January 2010

Kaise Batau Kaisi Wo Suhaagraat Hogi................Wednesday, October 1st, 2008

Kaise Batau Kaisi Wo Suhaagraat Hogi
Wo Haseen Us Pal Mere Saath Hogi
Aankhon Mein Kai Chamakte Sitare Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge
Phoolo Se Sajji Sej Aur Mehka-2 Shamaa
Mand-2 Si Roshni Aur Chand Utarega Yaha
Ghoonghat Mein Lukta-Chhipta Chehra
Unki Aankho K Ishaare Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge
Wo Jab Sharma K Meri Baaho Mein Aa Jayegi
Meri Har Hasrat Toot Kar Us Par Bikhar Jayegi
Door Hogi Do Zismo Ki Dooriya
Jab Wo Pass Hamare Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge
Jab Unke Labo Ko Mere Lab Chhu Jayenge
Ek Meethe-2 Nashe Mein Hum Dono Kho Jayenge
Pyaar Hi Pyaar Hoga Darniya Hamare
Us Pyaar Ki Kashti K Na Koi Kinare Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge
Us Madbhari Raat Ka Aesa Dilkash Savera Hoga
Bikhare-2 Unke Kesu Bikhra Wo Basera Hoga
Unki Angdaai Se Wo Pal Aur Bhi Suhane Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge

No comments:

Post a Comment