09 August 2010

Ek Khayal : Mat Jana Un Pattharile Path Par


Maine Kaha Tha Tumhe
Mat Jana Un Pattharile Path Par
Nange Paav Aese Chal Kar
Lekin Tum Par Ek Dhun Sawar thi
Usko Paane Ki, Us Pyaar Ki
Wo Khud Bhi Kaha Poora Hai
Jo Tumhe Poora Karta
Berang Tumhare Sapno Ko,Sunhara Karta
Khushi Reh Paayi Tumhari Bas Pal Bhar
Maine Kaha Tha Tumhe
Mat Jana Un Pattharile Path Par

08 August 2010

chalo ik baar phir se ajanabii ban jaaye.N ham dono.n.....Sahir Ludhianvi Jee

chalo ik baar phir se ajanabii ban jaaye.N ham dono.n


na mai.n tum se ko_ii ummiid rakhuu.N dil navaazii kii
na tum merii taraf dekho Galat a.ndaaz nazaro.n se
na mere dil kii dha.Dakan la.Dakha.Daaye merii baato.n me.n
na zaahir ho tumhaarii kashmakash kaa raaz nazaro.n se


ta'arruf rog ho jaaye to us ko bhuulanaa behatar
ta'alluq bojh ban jaaye to us ko to.Danaa achchhaa
vo afsaanaa jise takamiil tak laanaa na ho mumakin
use ek Khuubasuurat mo.D dekar chho.Danaa achchhaa


chalo ik baar phir se ajanabii ban jaaye.N ham dono.n



tumhe.n bhii ko_ii ulajhan rokatii hai peshakadamii se
mujhe bhii log kahate hai.n ki ye jalave paraaye hai.n
mere hamaraah bhii rusavaaiyaa.N hai.n mere maazii kii
tumhaare saath bhii guzarii huii raato.n ke saaye hai.n


14 July 2010

Raat Bhar Khayalo Se Kaise Hum Guzara Kare ,Ek Raat Qayamat Ki Hamari Zindgi Mein Bhi Aaye

Raat Bhar Khayalo Se Kaise Hum Guzara Kare
Ek Raat Qayamat Ki Hamari Zindgi Mein Bhi Aaye

Uske Pehloo Mein Raat Is Qadar Beete
Unki Baaho Mein Mera Har Savera Ho

Sarrd Si Un Subaho Mein Unke Saanso Ki Garmi
Kap-Kapati Meri Aahoo Ko Ruhani Sa Ehsaas de

Pyaar Se Lazarte Un Hontho Ko Mere Hontho Se Chhu lu
Pee Jau Mehkashi K Pyaale Ek Hi Raftaar Mein

Utare Na Mujh Par Se Unki Mohhbat Ki Khumari
Salamat rahe Unki Meri Yaari...............

*Ishq Ibadat*
Jiske Liye Ishq Ibadat Hai
Janam-O-Janam Ki Chahat Hai
Na Is Ke Chain Hai Ek Pal
Na Kahi Iske Rahat Hai....

Written by Diggaj Dave 4th April 2010

02 May 2010

Khehne ko to tera mera koi rishta nahi

Khehne ko to tera mera koi rishta nahi
Ye bhi sach hai k bin tere
ye dil kahi lagta nahi
Kyu na hum isko rashmo mein jod le
Zindgi ko apni ek hi raaho pe mod le
Akele ye safar ab mera kat.ta nahi
Khehne ko to tera mera koi rishta nahi


Magar sochta hu kab talak main chup rahu
Akele hi tanhaiyo k ye pal kyu sahu
Jab lakeer pyaar ki in haatho mein likhai hai
To fir jazbaato k izhaar mein kya burai hai
Bin tere aur koi dil ko jachta nahi
Khehne ko to tera mera koi rishta nahi


Vaise to deewane honge bohat tumhare
Duniya mein honge insaan mujhse bhi pyaare
mujh jaisi baat tumhe na kahi nazar aayegi
zamane ki har khushi tu pyaar mein mere payegi
Itna bhi koi kisi pe marta nahi
Khehne ko to tera mera koi rishta nahi


Ab aur na kuch jayada bas ek baat kehta hu
Umar bhar k liye main tera saath chahta hu
Apne hi rang mein meri dar-o-diwar ko rang jao na
Mohabbat ki us bhini-2 khushboo se

mera ghar aangan mehakao na
Mere ehsaaso par bas mera rehta nahi
Khehne ko to tera mera koi rishta nahi

***************
"Shab-e-qurbat k wo hasiin pal,NA jane kaha ho gaye wo ojhal....Diggaj Dave"

20 April 2010

aa sajan more naynan main



aa sajan more naynan main so palak dhap tohe du ..
na main dekhu auran ko na tohe dekhan du ......??????

04 April 2010

Unse Kehna Door Sahi Fir Bhi Wo Pass Hamare Rehte Hai,


Unse Kehna Door Sahi Fir Bhi Wo Pass Hamare Rehte Hai, 
Ab Tak Mere Dil Mein Wo Unke Andaaz Purane Rehte  hai

02 April 2010

raat bhar khayalo me kaise hum gujara kare

Raat Bhar Khayalo Se Kaise Hum Guzara Kare
Ek Raat Qayamat Ki Hamari Zindgi Mein Bhi Aaye

Uske Pehloo Mein Raat Is Qadar Beete
Unki Baaho Mein Mera Har Savera Ho

Sarrd Si Un Subaho Mein Unke Saanso Ki Garmi
Kap-Kapati Meri Aahoo Ko Ruhani Sa Ehsaas de

Pyaar Se Lazarte Un Hontho Ko Mere Hontho Se Chhu lu
Pee Jau Mehkashi K Pyaale Ek Hi Raftaar Mein

Utare Na Mujh Par Se Unki Mohhbat Ki Khumari
Salamat rahe Unki Meri Yaari


*Ishq Ibadat*
Jiske Liye Ishq Ibadat Hai
Janam-O-Janam Ki Chahat Hai
Na Is Ke Chain Hai Ek Pal
Na Kahi Iske Rahat Hai....

                                                    Written By Diggaj Dave

               
jine liye kya chahiye bus tu aur tera pyaar 21 july 2010


passionate lover 21 july

20 March 2010

Hum rahe bhi to badalte hue mausam kii tarah

Hum rahe bhi to badalte hue mausam kii tarah
terii aa.Nkho.n me.n ko_ii aks thaharaa apnaa




Gar baazii ishq ki bazii hai jo chahe laga do dar kaisaa
gar jiit gaye to kya kahnaa haare bhii to bazii maat nahii...



                                                      Written by Diggaj Dave 19/03/10 ,4:30PM





04 March 2010

bus jee rahe har pal dil ko dukhaye huye

ek muddat ho chali hai tujhko aajmaye hue,
do pal teri zulfo k tale beetaye huye,
un jhuki palko kibaat hi kuch alag thi,
Rahte hai jinko tum hum par beechaye hue,
Ab neend hai na chain hai in aankho ko ,
bus jee rahe har pal dil ko dukhaye huye

18 January 2010

ja raha tha dur mujse mera vo hmsaaya.....

Un lamho ko un kadmo ko
Main rok nahi paya
Ja raha tha door mujhse
Mera wo humsaaya

Bheegi si unki palke thi
Ye aankhe bhi kuch num thi
Ho raha tha kya ye sab
Main samjh nahi paaya
Ja raha tha door mujhse
Mera wo humsaaya

Wo shaam kuch ajnabi si thi
ye saansein kuch thami si thi
hokar bhi wo mere saath na thi
bikhare-2 lafzo mein mein usne
aakhir wo sab keh dala
Ja raha tha door mujhse
Mera wo humsaaya

Aesa bhi nahi use pyaar na tha
Mujhe par use ethbaar na tha
Halat uski bhi achi na thi
aas uske ruk jane ki
bachhi na thi
Khilne se pehle hi is gulshan ka
Phool tha murjhaya
Ja raha tha door mujhse
Mera wo humsaaya 


Bas aakhiri wo lamha tha
chal diya wo us raah
Jahaan usko chalna tha
Kuch mud-2 kar
thoda ruk-2 kar aankho
se moti giraa raha tha
Ek pal mein in aankho se ojhal
Wo chehra kahi dhoondhala gaya
Chala gaya wo door mujhse
mera wo humsaaya


written by Diggaj Dave

15 January 2010

Teri meri mulaqaat ki.....

Teri meri mulaqaat ki
Wo bhegi subah barsat ki
yaad kar fariyaad kar
fir lot aaye wo pal
Teri baaho mein Panaho mein
Fir se mujhe le chal
Mil jaye manzil mere jazbaat ki
Wo bhegi subah barsat ki


Ek duje ki aankho mein aankhe dal
jo pal humne beetaye the
Pehli dafa jab tum mujhse milne aaye the
bheega tha shamaa har aur khushiyo k saaye the
Fir Baat yaad aayi teri meri har baat ki
Wo bhegi subah barsat ki....


Geela geela sa kuch sarrd sa mausam tha
Kap-kapate hue humne ek duje ko chhua tha
Tere gaalo se lekar labo tak ka safar maine kiya tha
Romaniyat bhare lamho aur tere saath ki
Wo bhegi subah barsat ki....


Un do badan ka ek sa ho jana,
Tere chehre aur husn k alawa kuch nazar na aana
Kitna haseeN tha apna milan ae meri jane-jana
Gunjti hai kaano mein ab bhi wo hassi teri muskurahat bhi,
Wo bhegi subah barsat ki....


Teri meri mulaqaat ki
Wo bhegi subah barsat ki
yaad kar fariyaad kar
fir lot aaye wo pal
Teri baaho mein Panaho mein
Fir se mujhe le chal
Mil jaye manzil mere jazbaat ki
Wo bhegi subah barsat ki

Har pal rehti jiski justju hai

Har pal rehti jiski justju hai,
Paa lu usko ye aarzoo hai,
Dil ki ye dhadkane meri,
Kehti mujhko ab yahi,
Kaise batau main...
Bin kahe na reh pau main,
Tujhse hi zindgi mein shine hai,
Tu hi meri valentine hai....

Teri saanso se judi meri saanso ki mala hai,
Beh rahi hamare beech mein pyar ki jo dhara hai,
Umar bhar k liye agar saath tera mile,
Yuhi pyar se gar ye karwa chale,
To ho jaye ye rishta divine hai,
Tut Hi meri valentine hai...

Ye nasha kaisa teri chahat ka hai,
Khilaya tumne hi to ye phool muhabbat ka hai,
Hai ye illtezaa pass mere rehna sada,
Humsafar tujhsa mujhe hai milna kaha,
Tu hai agar to zindgi fine hai,
Tu hi meri valentine hai..

Kya tohfa du tumhe itna paisa nahi,
Ek dil hai mera ye bhi sasta nahi,
Tumhara hu main mujhko apna lo tum,
Apni baaho mein kahi mujhko chhupa lo tum,
Jaan hai tu meri lifeline hai,
Tu hi meri valentine hai..


Written by Diggaj Dave

Ab tak hai javaaN aankho mein mere..............

Ab tak hai javaaN aankho mein mere
Wo pal,lamha wo ghadi
Milne aayi thi aasmano se
Mujhse ek haseeN si pari
Bhulao kaise main un mulaqato ko
Baatein wo yours & mine ki
Yaadein wo peechle valentine ki

Zindgi mein thi khushiya charsu
Hue jab se the unse ru-b-ru
Badla tha shama Badla main bhi tha
Rehti thi unke hi pyaar ki ku-b-ku
Main jo bhi aaj hu unke dum se hu
Haqikat hai yahi meri Luck line ki
Yaadein wo peechle valentine ki

Bheeni-2 si un shrdh raato mein
Tera haath dena mere haatho mein
Kap-kapate hontho se kehna wo tera
Aana wo tera meri baaho mein
Madham dhadkane badhna saanso ka
Sab khumari hai ye lab-e-wine ki
Yaadein wo peechle valentine ki


Dhoondhla hai wo pal dhoondhali tasveer hai
Aaj judaa hai jo is raanjhe ki heer hai
Iska ghum nahi ki wo pass mere nahi
Ab dooriya hi shayad meri taqdeer hai
Poonam nahi ab sirf andheri raatein hai
Wo chand nahi jisne meri zindgi shine ki
Yaadein wo peechle valentine ki


Teri zulfo k tale raat guzarti to kya baat hoti.......

Teri zulfo k tale raat guzarti to kya baat hoti
khusnasiib hote wo pal,mere nasib mein ye saugaat hoti...

Teri aankho k ishaare hote
pyar karne k ye bahane hote
Teri baaho mein sote Teri baaho mein khote
Agar khuda k haatho kuch aesi qaramat hoti
khusnasiib hote wo pal,mere nasib mein ye saugaat hoti....

Meri justju mere armaano ka aesa savera hota
Meri zindgi mein tum hoti door ye andhera hota
Nayi umiido nayi unchaiyo par mann mera hota
Jag-mag sitaaro si meri har shaam har raat hoti
khusnasiib hote wo pal,mere nasib mein ye saugaat hoti....

Waqt ko ye hona manzoor na tha
meri kismat ka sitara hi shayad kamzor tha
Main nahi tera humdum koi aur tha
SehraaoN mein bhi kaise barsat hoti
khusnasiib hote wo pal,mere nasib mein ye saugaat hoti....

.Tannha Meri Harr Shaam Hai.............Monday, August 18th, 2008

Tannha Meri Harr Shaam Hai
Sehmi-2 Si Hai Raat
Din Ko Ekk Pal Chain Mile Naa
Badi Muskil Se Kat Ti Hai Raat
Tujh Bin Kuchh Naa Acha Lage
Ekk Pall Lage Jaise Sadiya 100saal
Dhundti Hai Tujhko Meri Aankhe
Har Mehfil Harr Nazaron Mein
Bechaini Si Rehti Hai Mujhko
Jabb Tujhko Paas Naa Pata Hu
Yaad Satati Hai Jabb Teri Mujhko
In Aankho Ko Rokk Naa Pata Hu
Moti Jaise Aansoon Ko
Paani Ki Tarah Bahata Hu….

Door Takk Naa Koi Apnna Hai...........Monday, August 18th, 2008

Door Takk Naa Koi Apnna Hai
Oas Ki Tarah Dhundhla Hua Mera Sapnna Hai
Nazar Jaha Takk Bhi Jaati Hai Meri
Ajnabiyo Se Bhari Yeh Duniya Hai
Harr Mehfil Meri Tanha Hai
Meri Aur Mere Gumm Ki Duniya Hai
Sarrd Raatein Hai Aur Tim-Timate Taare Hai
Hum Bhi Khudd Mein Hi Simat Se Jaate Hai
Mere Khwabo Mein Saaye Ki Tarah Chale Aate Hai
Kuch Pal Tharte Hai Aur Chale Jaate Hai
Oas Ki Dhundhlahat Mein Firr Kahi Kho Jaate Hai
Kuch Pal Hum Bhi Bebas Ho Jaate Hai
Kuch Aansoo Bahate Hai
Aur Hum Bhi Us Oas Mein Kahi Gum Ho Jaate Hai….

Jo Kabhi Meri Aankhon Mein Raha Karti Thii............ Tuesday, August 19th, 2008

Jo Kabhi Meri Aankhon Mein Raha Karti Thii
Wo Aansoon Bankar Meri Aankhon Se Nikal Aayi Hain
Shayad Khudgarz Tha Pyaar Uska
Jo Meri Zindaagi Mein Aaj Aesi Ghadi Aayi Hain
Pyaar Ko Uske Samjha Tha Main Naseeb Apna
Magar Uski Mohabbat To Badnaseebi Bankar
Meri Zindaagi Par Chhayi Hain

Hamare Muskratein Chehre Ke Pichhe Bhii Kai Raaz Chhupe Hain...........Tuesday, August 19th, 2008

Hamare Muskratein Chehre Ke Pichhe Bhii Kai Raaz Chhupe Hain
Baahar Se Sukhe Huye Lagte Hain
Magar Andar Se Ghaav Abhi Gehre Hain
Naa Chhedo Inhe Kahi Ye Nasoor Naa Ho Jaaye
Bhul Chuke Hain Jise Kahi Wo Fir Se Yaad Naa Aa Jaaye

Pyaar Ko Tere Yeh Zindgi Tarasti Rahi............ Tuesday, August 19th, 2008

Pyaar Ko Tere Yeh Zindgi Tarasti Rahi
Sisak-2 K Sasse Meri Dumm Todne Lagi
Aasma Par Bhi Chhaye The Badal
Aur Hamari Zindgi PaRr Bhi
Magar Toh Baras Kar Tham Gaye The Magarr
Hamari Aankhein Din Raat Barasti Rahi….

Naa Hote Ye Mandir Masjidd........... Tuesday, August 19th, 2008

Naa Hote Ye Mandir Masjidd
Naa Hota Koi Hindu Muslimm
Rehte Sabhi Mil Jul Karr
Kaash Hum Sabb Ka Ekk Hi Emaan Hota
Kya Mila Hai Hum Sabb Ko
Ekk Duje Ka Khoon Bahane Par
Sooni Hui Meri Maa Ki Godhi Bhi
Teri Maa Ki Godhi Bhi Ujaadi Hai
Shok Hai Mere Ghar Mein Bhi
Tere Ghar Mein Bhi Maatam Chhaya Hai
Kya Ye Sab Karne K Liye Hi Tu
Iss Dharti Pe Aaya Hai
Likha Hai Kis Geeta Mein
Kis Kuran Mein Ye Aaya Hai
Khoon Baha Kar Apno Ka
Kisne Sawarg Aur Zannat Ko Paaya Hai
Naa Jaane Wo Waqt Kisd Din Aayega
Naa Hoga Koi Hindu Muslim
Har Aur Khushyaali Ka Mosam Chhayega
Dhund Rahi Hai Meri Aankhe
Naa Jaane Wo Din Kab Aayega……

Teri Yaadein............Tuesday, August 19th, 2008

Teri Yaadein
Woh Tere Saath Beete Lamhon Ki Yaadein
Hamein Harr Waqt Yaad Aati Hai
Aa-2 Kar Teri Yaadein
Hamein Har Baar Roola Jaati Hai
Naa Jaane Kya Rishta Hai Inn Yaadon Se
Jo Ye Mere Dil-O-Dimag Se Naa Nikal Paati Hai
Sagar Mein Uthte Tufanon Ki Tarah
Mere Dil Mein Bhi Tuffan Uthati Hai
Ye Teri Yaadein Naa Jaane
Hamein Kyu Itna Yaad Aati Hai

Tumhare Dware Aan Padaa Hu Walian Ke Maharaj M.............Wednesday, August 20th, 2008

Tumhare Dware Aan Padaa Hu Walian Ke Maharaj
Mere Khwaza Tumhi Toh Mori Laj Laj Laj
Ek Najariya Kardo Prem Ke
Sabke Ban Jaaye Kaam
Tum Ajmer Ke Khwaja Tumhara Badaa Jagat Mein Naam
Nagar Nagar Mein Charcha Toraa
Nagar Nagar Toraa Raj
More Khwaja Tumhi To Mori Laj Laj Laj

Hamein Uski Yaad Naa Dilao......... Wednesday, August 20th, 2008

Hamein Uski Yaad Naa Dilao
Bade Mushkil Se Sukh Paye Hain Ye Zakham,
Fir Se Inhe Naa Jagao,Hum Ye Nahi Kehte Kii Wo Bewfa Thi,
Wo To Hamari Kismat Ne Hii Hamse Wafa Naa Ki,
Varna Hamare Pyar Ko Dekh Kar Ye Zamana Kehta,
Ki Aesi Mohabbat Jahaa Mein Kisi Ne Na Ki

Jitna Bhulau Utna Yaad Aati Hain.........Thursday, August 21st, 2008

Jitna Bhulau Utna Yaad Aati Hain,
Uski Yaadein Dil Ko Dard De Jati Hain,
Nahi Chahta Jab Yaad Karna Usko,
To Wo Kisi Rah Par Nazar Aa Jati Hain,
Us Waqt Nahi Chal Pata Khud Par Kabu,
Aur Meri Aankhe Bhar Aati Hain
Badi Muskil Se Katati Hai Wo Raatein,
Aur Aankho Mein Nind Bhi Nahi Aati Hain
Palke Band Karta Hu To,Wo Hi Nazar Aati Hain,
Na Jane Wo Kyu Itna Yaad Aati Uski
Surat Aankho Se Kyo Nahi Nikal Pati Hain,
Jitna Bhulau Usko Utna Yaad Aati Hain

Chupaa Le Apne Aagoosh Mein Mujhko ....

Chupaa Le Apne Aagoosh Mein Mujhko
Tera Pyaar Pane Ki Tamanaa Hai
Doob Jau Teri Aankhoo Mein
Jisme Mohabbaat Ki Duniya Hai
Tujhko Chahu Tujhko Puju
Mitaa Kar Apni Hasti Pyaar Karu
Soya Rahu Teri Zulfoo K Saaye Mein
Ye Hi Zindgi Ka Sapna Hai

Hamein Ek Nazaar To Dekho Pyaar Se......Saturday, August 23rd, 2008 |

Hamein Ek Nazaar To Dekho Pyaar Se Hum To Tumhare Hai
Tumhe Kisi Ko Dhundne Ki Kyaa Jarurrat Jab Pass Hum Tumhare Hai
Mehsoos To Karo Humare Pyar Ko
Fir Khhud Hi Jaan Jaoge Ki Tumhare Pyar Mein Ye Dil Kitna Diwanaa Hai

Badi Muddaat Se Aaj Hum Mile Hai Yu Na Tum Humse Door Joa...............Saturday, August 23rd, 2008

Badi Muddaat Se Aaj Hum Mile Hai Yu Na Tum Humse Door Joa
Kuch Pal Pass Hamare Baitho Thodaa Kareeb To Aao
Bade Waqt Se Dil Mein Jo Pyaar Chhupa Rakha Hai Humne,Aaj
Tum Par Jee Bhar Ke Lutau Le Lo Mujhe Apni Baaho
Mein,Sab Kuch Bhula Kar Mein Tumhare Pyaar Mein Kho Jau

Khawabo Ko Haqikat Mein Badlnaa Mumkin Naa Thaa ......Saturday, August 23rd, 2008 ..........

Khawabo Ko Haqikat Mein Badlnaa Mumkin Naa Thaa
Zindagi Mein Akele Chalnaa Bhi Aasan Naa Thaa
Har Dagar Har Raah Par Tum Humrahi Bankar Saath Chale
Shayad Khuda Ne Tumko Mera Naseeb Bana Kar Bhejaa Thaa
Varna Ishq Ka Ek Shabad Bhi Hamein Malum Naa Thaa

Ab To Ye Chandni Bhi Hamein Jalati Hai.........Saturday, August 23rd, 2008

Ab To Ye Chandni Bhi Hamein Jalati Hai
Bhari Mehfile Bhi Hamein Sunsan Nazar Aati Hai
Jab Se Tum Door Gaye Ho Humse
Humari Aankhein Har Pal Dab-Dabati Hai
Jab Tum Pass Hamare The
Hamari Aankho Mein Chamkte Sitaare The
Tab Khamoshiya Bhi Gun-Gunati Thi
Har Khwahish Puri Ho Jaati Thi
Aaj Jab Tu Humse Door Hai
Hamare Laboo Se Hassi Bhi Koso Door
Ab To Sirf Duaa Hi Baki Hai
Sunte Hai Ishmein Asar Kafi Hai
Ab To Duaa Kar K Hi Dekhenge
Aur Duaa Mein Tujhe Maang Kar Dekhenge
Suna Hai Khuda K Dar Par Har Duaa Kabul Ho Jaati Hai
Har Cheez Maange Mil Jaati

Badi Muddat Se Aaj Hum Mile Hai........... Saturday, August 23rd, 2008

Badi Muddat Se Aaj Hum Mile Hai
Yu Na Tum Hamse Door Jao
Kuch Pal Pass Hamare Baitho
Thoda Kareeb To Aao
Bade Waqt Se Dil Mein Jo Pyaar Chhupa Rakha Hai Humne
Aa Tum Par Jee Bhar K Lutau
Le Lo Mujhe Apni Baho Mein
Sab Kuch Bhula Kar Mein Tumhare Pyar Mein Kho Jau

Bandishe Lakhoo Hai Zamaane Ki ............Saturday, August 23rd, 2008

Bandishe Lakhoo Hai Zamaane Ki Magar Tum Mujh Par
Aitbar Rakhna Hum Jaroor Aayenge Bas Tumhamara
Intezar Karna Bohat Gum Diye Hai Ish Zamaane Ne
Mujhko,Bas Ho Sake To Mere Liye Apne Pyaar Ko Barkraar
Rakhna

Naseeb Hai Hamaraa Ki Mene Teraa Pyaar Payaa Hai............. Saturday, August 23rd, 2008

Naseeb Hai Hamaraa Ki Mene Teraa Pyaar Payaa Hai,Aakar
Teri Baaho Mein Apne Har Gum Ko Bhulayaa Hai Tera Pyar
Meri Zindagi Mein Khushiyaa Hi Khushiyaa Laya Hai Tere
Sivaa Kisi Hasee Nazare Ko Dekhu Bhi To Kese Tumne Hi
To Meri Zindagi Ko Janant Banayaa Hai

Do Kadam Maine Badhaaya Hai ......... Saturday, August 23rd, 2008 ..

Do Kadam Maine Badhaaya Hai Ek Kadam Tum Bhi Badhaao
Dono Ke Bich Jo Faslaa Hai Usko Mitao
Maine Apna Sab Kuchh De Diyaa Hai Tumko
Ab Tum Bhi Hameshaa Ke Liye Meri Ban Jao

Pareshan Rehti Hai Nigahein Hamari.....Saturday, August 23rd, 2008

Pareshan Rehti Hai Nigahein Hamari
Bin Aapke Na Lagti Hai Inhe Koi Cheez Pyari
Aapko Dekhne Ke Liye Hi Khuli Rehti Hai Ye
Varna Kab Ki Band Ho Jaati Ye Nigahein Hamari

Tum Hamein Apnaa Kehti Hoo.......... Saturday, August 23rd, 2008

Tum Hamein Apnaa Kehti Hoo
Ye Tumhaari Meharbani Hai
Tum Mein Hi To Humne
Zindagi Ki Haqikat Pehchaani Hai
Kese Jee Le Bin Dekhe Tumko
Tumhari Surat Ki Hi To
Ye Aankhein Deewani Hai

Rimjhim Rimjhim Barsti Ghataye........ Saturday, August 23rd, 2008

Rimjhim Rimjhim Barsti Ghataye
Mere Man Mein Ek Pyas Uthaati Hai
Tere Na Pass Hone Ki
Hamein Bohat Yaad Dilati Hai
Jo Waqt Tere Sath Beeta Tha
Ek Hassen Khawab Ki Tarah Gujraa Thaa
Na Jaane Ab Wo Khawab Kahaa Hai
Meri Neende Meri Woh Raat Kahaa Hai
Gunjati Hai Jiski Gunj Aaj Tak Mere Kaano Mein
Pehle Jesi Khushiya Kaha Rahi Ab Mere Aahiyane Mein


Har Kisi Se Mohabbat Baya Nahi Karte............. Saturday, August 23rd, 2008

Har Kisi Se Mohabbat Baya Nahi Karte
Aankhoon Se Samjh Jaye Koi To Labo Se Ayaa Nahi Karte
Ye Hi To Andaz Hai Mohabbat Kaa
Dil Mein Bassa Le Ek Bar Aagar To Apno
Ko Dil Se Juda Nahi Karte

Tarsa Main Zindagi Mein Jiske Liye....... Saturday, August 23rd, 2008

Tarsa Main Zindagi Mein Jiske Liye
Woh Aaj Mujhe Mil Gayaa
Tumne Pyaar Se Mujhe Jo Dekha
Mera Har Sapna Sach Ho Gayaa
Bohat Log Mile Raho Mein
Par Tumsa Naa Mila
Tere Pyaar Ne Meri Zindgi Mein
Nayaa Rang Bhar Diya
Jisko Dekhta Tha Khayaalo Mein
Aaj Wo Haqikat Mein Mil Gaya
Suni Padi Meri Daal Par
Pyara Sa Phool Khil Gaya
Aaj Fir Duniya Lagne Lagi Apni
Aur Koi Ajnabi Apna Ban Gaya
Akeli Meri Zindgi Ko
Ek Humraahi Mil Gaya.


.Dil Mein Jo Baat ........Saturday, August 23rd, 2008

Dil Mein Jo Baat Humne Barso Se Chhupaa Rakhi Hai
Usme Hamare Armanoo Ke Khawaab Basa Rakhe Hai
Kis Tarah Baya Kar Du Ki Hum Tumhe Khhud Se Jayadaa Chahte Hai
Apna Sab Kuch Lutaa Kar Tumhare Ban Janaa Chahte Hai

Chamakta Chaand Hai Aur Sitaro Kaa Hai Sama.......

Chamakta Chaand Hai Aur Sitaro Kaa Hai Sama
Behisab Pyar Karte Hai Tujhko
Kaise Kare Usko Baya
Chup Chap Rahe Hum Aur Aankhoon Ki Juba Tum Na Samjh Paayi
Itne Waqt Akele Hi Humne Zindagi Hai Bitaayi
Par Ab Na Hum Chup Chap Rahenge
Jo Baat Hai Dil Mein Wo Aaj Keh K Rahenge
Hum Dono Ko Saath Dekhkar Kaliyaa Bhi Muskrayegi
Tumhe Paa Kar Meri Har Tamanna Puri Ho Jayegi

Zindagi Ki Haqikaat Se Door Kahaa Jaogi Tum.....Saturday, August 23rd, 2008

Zindagi Ki Haqikaat Se Door Kahaa Jaogi Tum
Mere Pyar Ki Khushbu Ko Kaise Chhupaa Paogi Tum
Basa Rakhaa Hai Jise Tumne Apni Yadoo Mein
Usko Kis Tarah Bhulaa Paogi Tum
Chaand To Har Roz Niklegaa
Uski Chaandni Se Kaise Bach Paogi Tum
Tanhaai Mein Akele Kaise Reh Paogi Tum
Bechainiyoo Mein Jab Bhar Aayegi Aankhein
To Aansu Ko Kaise Rok Paogi Tum
Chaloo Itnaa Hi Bata Doa
Kya Mere Bagaair Reh Paogi Tum

Meri Aarzu Meri Bandagi Hai Wo............

Meri Aarzu Meri Bandagi Hai Wo
Aur Kya Uske Baare Mein Kahu
Meri Zindagi Hai Wo
Meri Mehfil Hai Wo Meri Tanhaai Hai Wo
Rahe Wo Har Waqt Saath Mere
Meri Parchhayi Hai Wo
Meri Khamooshiyo Ki Khamooshi
Usse Hi Hai Meri Har Khushi
Har Pal Jo Mera Ehsass Bankar Rahe
Main Phool Hu Jiski Khushbu Hai Wo
Ab Aur Kya Uski Tarif Karu
Meri Zindgi Hai Wo
Meri Aarzu Meri Bandagi Hai Wo
Aur Kya Uske Baare Mein Kahu
Meri Zindagi Hai Wo

Mandir Mein Rehtaa Hai........Saturday, August 23rd, 2008

Mandir Mein Rehtaa Hai
Na Masjid Mein Rehtaa Hai
Wo To Hum Sab Ke Dilo Mein
Aur Zarre-2 Mein Basta Hai
Wo Khuda Hai Naa Wo Bhagwan Hai
Ye To Usko Paane Ki
Hamari Alag-2 Pehchhan Hai
Ek Hi Hai Wo Hum Sab Ka Rakhwala
Jiska Rehta Hai Har Waqt Hum Par Saaya
Naa Wo Hindu Hai
Naa Wo Musalma Hai
Wo To Hamare Sab Ke Dilo Ka Armaa Hai
Milkar Kare Duaa Usse Chain-O-Aman Ki
Maange Khushiya Usse Ish Chaman Ki….

Saturday, August 23rd, 2008

Khushbu Piyar Ki Har Aur Bikhar Jati Hai
Tumhare Muskrane Se Hamari Duniyaa Bhi Muskrati Hai
Jab Bhi Dekhti Ho Tum Piyar Se Humari Aur
Saare Zamane Ki Khushiya Humare Daman Mein Chali Aati

........Saturday, August 23rd, 2008

Tumharaa Pyaar Mere Liye Har Woh Khushi Hai
Jiski Jarurat Ish Dil Ko Hui Hai
Jazbaat Hamare Naa Jane Kab Tum Samjah Paogi
Aur Apne Pyaar Ki Barish Kab Barsaogi
Us Din Ka Hamein Intezaar Rahega
Ae Jaane Tamnaa Hamein Tumse Janmo Janam Pyaar Rehega.

Saturday, August 23rd, 2008 |

Bechain Hu Main Kab Se
Ab Mujh Ko Chain Dila De
Ae Mere Dil-A-Nashi Tu
Ek Bar Apna Chehra Dikha De
Munatzir Hu Kab Se Main
Ab Aur Naa Mujh Ko Tu Intezar De
Aakar Meri Baaho Mein Tu
Apne Pyaar Ka Uphaar De
Main Bhi Chahunga Tujhe Jab Tak Hai Zindgi
Agar Naa Hai Bharosa Mujh Par
To Mere Pyaar Ka Intehan Le
Pyaar K Sivva Kuch Nahi Mere Pass
Sirf Hai Ye Zindgi
Agar Chahe To Tu Ishe Bhi Bar-2 Le
Aakar Meri Baaho Mein Tu
Apne Pyaar Ka Uphaar De

Aaj Fir Unki Yaad Aa Gayi.......... Saturday, August 23rd, 2008

Aaj Fir Unki Yaad Aa Gayi
Fir Se In Aankhoon Mein Nami Si Chha Gayi
Badi Muddat Ke Baad Aaj Dekhaa Unko
Fir Se Unko Pane Ki Hasrat Dil Mein Aa Gayi

Woh Hamein Chhod Gaye ........Monday, August 24th, 2008

Woh Hamein Chhod Gaye Ishme Unka Kyaa Kasur Thaa
Unka Pyaar Sayad Mere Nasib Mein Hi Na Thaa
Bagair Unke Hi Ab Ji Lete Hai Hum
Sayad Woh Ek Sitara Jo Kabhi Mere Kareeb Hi Na Thaa

Tumhe Koi Dusraa Dekhe Hamein............Monday, August 25th, 2008

Tumhe Koi Dusraa Dekhe Hamein
Ye Gavaara Nahi Hotaa
Tum Jab Saath Na Hoti Ho
Hamein Kuch Achaa Nahi Lagtaa
Ye To Jaadu Tumhara Hi Hain
Varnaa Mujh Jaise Insaan
Kabhi Deewaana Nahi Bantaa

I’m Dropping In With ....................Monday, August 25th, 2008

I’m Dropping In With
Some Irish Luck To
Brighten Your Day
And To Chase All Of
Your Troubles Away
May The Road Ahead Bring
Many Blessings To You
And May You Find Success
And Happiness
In All You Do


Tum Pyar Ko Yu Dil Mein Kab Tak Chhupaogi ......Monday, August 25th, 2008

Tum Pyar Ko Yu Dil Mein Kab Tak Chhupaogi
Izhaar Na Karke Kya Tum Reh Paogi
Haqikat Mein Bhale Hi Tum Door Rehlogi Mujhse
Magar Khwabo Mein Mujhse Kaise Judaa Ho Paogi

Meri Aankhon Ko Sirf Tera Didar Chahiye.............. Monday, August 25th, 2008 .

Meri Aankhon Ko Sirf Tera Didar Chahiye
Muhje Aur Kuch Nahi Tera Pyar Chahiye
Yu To Bohat Haseen Hai Zamane Mein
Magar Mujhe Zindagi Bhar Ke Liye Tera Saath Chahiye

Birthday.............. Tuesday, August 26th, 2008

Someone As Special As You
Who Always Thinks Of Others
Who’s True To Her Heart
And Dedicated To Her Family
Deserves A Wonderful Birthday
I Hope Your Birthday Is
The Best Ever A Memorable Time
That You’ll Always Look Back On Fondly
May The Day Bring You As
Much Beauty As A Garden Full
Of Pink Roses In Bloom
And Inspire Hope For Tomorrow.



Teraa Mera Ye Dosti Kaa Rishtaa Kabhi Naa Murjhaaye ............Wednesday, August 27th, 2008

Teraa Mera Ye Dosti Kaa
Rishtaa Kabhi Naa Murjhaaye
Duaa Hain Khudaa Se Ki Is
Rishte Ko Kisi Ki Nazar Bhee Naa Lag Paaye

Apne Ashqo Mein Bhii Hum Tera Didaar Karte Hain.....Thursday, August 28th, 2008 .........

Apne Ashqo Mein Bhii Hum Tera Didaar Karte Hain
Teri Bewfai Sehkar Bhii Tujhse Pyaar Karte Hain
Khud Ko Bhale Hii Hazaro Gum Mile
Magar Tu Kush Rahe Ishki Khuda Se Har Roz Fariyad Karte Hain

Fir Se Aaj Yeh Din Aayaa Hai...........Saturday, August 30th, 2008

Fir Se Aaj Yeh Din Aayaa Hai
Khushiyoon Ki Sogaate Tumhare Liye Lekar Aayaa Hai
Har Khawahish Tumhari Ish Din Poori Ho
Mil Jaaye Wo Tumhe Jin Khushiyoon Se Ab Tak Tum Door Ho

Dil Tute Lakho Bar Bhale Hii.......Monday, September 1st, 2008

Dil Tute Lakho Bar Bhale Hii
Ya Hazaro Gam Mile
Na Chhodenge Pyaar Karna
Chahe Mout Bhii Hamein Kyu Na Mile

Tu Pass Nahii Hain Mere Par Door Bhii Kaha Hain........ Monday, September 1st, 2008

Tu Pass Nahii Hain Mere Par Door Bhii Kaha Hain
Tere Saath Beete Din Aaj Tak In Aankhon Mein Jawaa Hain
Bhul Kar Bethe Ho Tum Hamein
Par Kis Tarah Hum Tumhe Bhul Jaaye
Fir Bhii Kabhii Jazbaat Hamare Behak Jaate Hain
Tujhe Bhul Jau Ye Mujhe Sikhate Hain
Faisla Hum Na Kar Paa Rahe Hain
Tujhe Hum Na Bhul Paa Rahe Hain
Ishi Kash-M-Kash Mein Jiye Jaa Rahe Hain

Pyaar Mein Tere Humne Sab Kuchh Bhula Diya............ Monday, September 1st, 2008

Pyaar Mein Tere Humne Sab Kuchh Bhula Diya
Apni Khushiyo Ko Tujh Par Luta Diya
Tune Bhii Ae Yaar Kya Pyaar Nibhaya Hain Humse
Hamare Laboo Kii Muskrahat Ko Hii Chura Liya
Intehaa Liya Tune Mohabbat Mein Ye Kaisa
Kii Ye Dil Bhii Teri Bewafi Ko Yaad Karega
Mout Bhii Aaye To Hass Kar Le Lega
Magar Kisi Se Ab Ye Dil Pyaar Na Karega

Pyaar Kii Gehrai Ko Wo Samjh Na Paayenge ............ Monday, September 1st, 2008

Pyaar Kii Gehrai Ko Wo Samjh Na Paayenge
Dil-E-Halat Ko Mehsoos Na Kar Payenge
Pyaar To Rishta Hain Sagar Se Bhii Gehra
Jo Paani Se Bhii Darte Ho
Wo Sagar Mein Kya Utar Payenge

13 January 2010

Tera Pyaar Na Sahi..................... Monday, September 1st, 2008


Tera Pyaar Na Sahi
Teri Yaad Hi Kaafi Hai
Umar Gujaar Jaye Ishke Liye
Tere Saath Beeti Woh Shaam Hee Kaafi Hai
Suna Hai Sapna Sach Bhi Hota Hai Kabhi
Bus Tujhe Pane Kaa Ye Bahana Hee Kaafi Hai

Teri Yaadein Dil Se Mere Jaati Nahii............. Wednesday, September 3rd, 2008

Teri Yaadein Dil Se Mere Jaati Nahii
Pal-2 Tadpati Hain Mujhe Chain Bhii Le Jaati Kahii
Rishta Kya Hain Naa Jaane Tumse Mera
Jaan Chal Jaati Hain Magar Yaad Teri Jaati Nahii

Ye Kaisi Diwali Hain ............... Wednesday, September 3rd, 2008

Ye Kaisi Diwali Hain Ye Kaisi Diwali Hain
Kisi Ke Ghar Amiri Kaa Saaya Hain
Aur Kisi Ghar K Sirf Gareebi Chhayi Hain
Sirf Gareebi Chhayi Hai Ae Duniya Banane Waale
Tune Kyo Bhedbhaav Kii Aesi Neev Daali Hain
Ye Kaisi Diwali Hai Ye Kaisi Diwali Hain
Har Taraf Khushiya Hi Khushiya Hain
Aur Diyo Ki Roshni Har Ghar Mein Jag-Magai Hain
Vaise To Ye Diwali Ki Raat Hain
Magar Kisi Ne Sirf Andhere Mein Ye Raat Gujaari Hain
Ye Kaisi Diwali Hai Ye Kaisi Diwali Hain
Har Ghar Mein Bane Hai Bohat Se Pakwan
Meethai Kha Kar Bhi Logo Ne Diwali Manayi Hain
Patakho Se Gunjaa Hai Kisi Ka Aashiya
Par Kisi Ki Zindgi Sirf Sooni Hain
Aur Sukhi Roti Kha Kar Hi Kisi Ne Diwali Manayi Hain
Ae Upar Waale Agar Banani Hii Thi Tujhe Amiri Gareebi To
Kis Liye Tune Ye Diwali Kii Reet Chalaayi Hain
Ye Kaisi Diwali Hai Ye Kaisi Diwali Hain

Aankhoon Hee Aankhoon Mein Sab Kuch Le Jaane Ki......Wednesday, September 3rd, 2008

Aankhoon Hee Aankhoon Mein Sab Kuch Le Jaane Ki
Kya Shokh Adae Hai Uski Dil Churane Ki
Uski Chahat Par Ab Mar-Mite Hai Hum To
Aarzoo Hai Hamein Usse Apna Banane Ki
Phoolo Si Muskurahat Lagti Koi Kheelti Kali Hai
Sagar Ki Koi Lehar Jo Ethlaati Chali Hai
Sawan Ki Koi Ghata Jo Barsne Nikali Hai
Aaksar Aadat Hai Hamein Sapne Sajane Ki
Kya Sokh Adaae Hai Uski Dil Churane Ki
Aankhoon Hi Aankhoon Mein Sab Kuch Le Jaane Ki
Kaali-Kahraari Uski Wo Aankhein
Aankho-2 Mein Karna Wo Mulakaatein
Badi Pyaari Lagti Hai Mujhe Uski Har Baatein
Ab To Khwahish Hai Usko Meri Zindgi Mein Laane Ki
Kya Sokh Adaae Hai Uski Dil Churane Ki
Aankho Hi Aankho Mein Sab Kuch Le Jaane Ki
Chand Aur Taaro Se Jag-Mag Ye Raatein
Ab To Tanha Naa Din Kat-Ta Hai Aur Naa Raatein
Sirf Usko Hi Dhoodhti Hai Meri Ye Aankhein
Mili Hai Ye Pyaari Saja Usse Dil Lagane Ki
Kya Sokh Adaae Hai Uski Dil Churane Ki
Aankho Hi Aankho Mein Sab Kuch Le Jaane Ki
Aankho Hi Aankho Mein Sab Kuch Le Jaane Ki
Kya Sokh Adaae Hai Uski Dil Churane Ki
Uski Chahat Par Ab Mar-Mite Hai Hum To
Aarzoo Hai Hamein Usse Apna Banane Ki

Zara Zara Si Baatein.....................Wednesday, September 3rd, 2008

Zara Zara Si Baatein
Teri Mujhko Yaad Aati Hai
Mere Dil Ko Tadapati Hai Raato Mein
Zara Zara Si Baatein
Beete Lamhe Le Aati Hai
Tasveere Si Ban Jati Hai Aankho Mein
Koi Bana Ke Bahana
Mere Ghar Ko Tera Aana
Har Shaam Milne Ke Liye
Halke Gulabi The Wo
Jo Phool Tune Mujhko
Ek Roj Laa Ke The Diye
Aur Ab Phoolo Ki
Khushbooae Jo Kahi Aati Hai
Mujhko Tanha Kar Jati Hai….Raaho Mein
Dariya Kinaare The Hum
Saasein Thi Madham Madham
Chhitki Hui Thi Chandni
Sahil Par Aati Lehre
Thi Jaise Gaati Lehre
Anjaani Koi Rangini
Aur Ab Sahil Pe
Gaati Lehre Jo Aati Hai
Tufaa Jaise Wo Lati Hai….Yaado Mein
Zara Zara Si Baatein
Teri Mujhko Yaad Aati Hai
Mere Dil Ko Tadapati Hai….Raato Mein
Zara Zara Si Baatein
Beete Lamhe Le Aati Hai
Tasveere Si Ban Jati Hai….Aankho Mein

Dard Dil Kaa Badh Jata Hain Mera...................Thursday, September 4th, 2008

Dard Dil Kaa Badh Jata Hain Mera
Jab-2 Tera Khayaal Aata Hain
Gum Sum Sa Ho Jata Hu Tab
Dil Kii Her Aah Mein Sirf Tumhara Naam Aata Hain

Khuda Kii Iss Duniya Mein........... Friday, September 5th, 2008

Khuda Kii Iss Duniya Mein
Koi Inssan Kyu Bukha Rehta Hain
Ekk Roti Kaa Khawaab Sajaaye
Kyu Wo Sadak Per Sota Hain
Na Hai Koi Aashiya Uska
Na Rehne Ka Koi Thhikana Hain
Chhat Hai Us Par Ambar Kii
Aur Sadak Hii Uska Bichhona Hain
Odhkar Wo Chand Kii Chandni
Isi Umeed Se Sota Hain
Ekk Roti Kaa Khawaab Sajaaye
Kyu Wo Sadak Par Sota Hain
Jab Kisi Gareeb Kaa Bachha
Bhookh Ke Liye Rota Hain
Sarddi Kii Thandi Raato Mein
Khud Mein Hii Simat Kar Sota Hain
Rote Bilakhte Bachhe Ko
Thhand Mein Sikute Bachhe Ko
Uski Maa Apne Kaleje Se Laga Leti Hain
Kal Dhoodh Pilaane Ka Bahana Kar Ke
Usko Ekk Aur Nayaa Khwaab Dikhati Hain
Kal Use Kuch Mile Naa Mile
Bas Wo Use Ekk Jhhuti Aas Dilati Hain
Ye Sab Dekhkar Mera Dil Pal-2 Rota Hain
Ekk Roti Kaa Khawaab Sajaaye
Kyu Wo Sadak Par Sota Hain
Khuda Kii Is Duniya Mein
Koi Inssan Kyu Bukha Rehta Hain
Ekk Roti Kaa Khawaab Sajaaye
Kyu Wo Sadak Par Sota Hain

Naa Main Hindu Hu Naa Main Musalma Hu............Sunday, September 7th, 2008

Naa Main Hindu Hu Naa Main Musalma Hu
Main To Insaan Hu Mujhe Insaan Rehne Do
Main To Parinda Hu Us Khuda Ka
Do Pal Ish Chaman Mein Mujhe Tum Ud Lene Do
Kya Pata Kab Aa Jaaye Kaza Mere Sar Par
Choti Si Hai Ye Zindgi
Tum Muhje Jee Bhar Ki Jee Lene Do

Tum Bin ................Sunday, September 7th, 2008

Tum Bin Kya Mera Dil Dhadak Sakta Hai
Saase To Tumne Chura Li Hai
Ab Ye Kar Bhee Kya Sakta Hai
Tum Bin Kya Meri Zindgi Hai
Jese Sagar Mein Dubti Hui Kasti Hai
Tum Bin Mera Jahaa Suna-2 Hai
Tum Bin Mera Jeena Bhee Kya Jeena Hai
Tum Bin Bahut Akeli Hai Meri Her Shaam
Sharab Ka Ho Jaise Khali Jam
Tum Bin Ish Tarah Kat Ti Hai Meri Raatein
Tanhaiyo Mein Khud Se Hi Karte Hai Baatein
Tum Bin Ab Ek Pal Bhee Ye Dil Naa Dhadak Sakta Hai
Agar Tum Naa Aayi To Sayad Ye Dum Bhee Tod Sakta Hai

Num Palko Kii Ye Dastan Kisi Ko Naa Sunana...........Tuesday, September 9th, 2008

Num Palko Kii Ye Dastan Kisi Ko Naa Sunana
Ye Baatein Her Kisi Ko Na Batana
Dard Ho Fir Bhii Chhupaye Rakhna Dil Mein Inko
Aansu Nahii Ye Tumhare Pyaar Ke Moti Hain
Inko Aankhoon Se Kabhii Naa Bahana.

Dur Honge Sabhi Ke Dukh Ab..................Tuesday, September 9th, 2008

Dur Honge Sabhi Ke Dukh Ab
Khushi Ki Lehar Her Aur Chhayi Hai
Hote Hi Chand Ka Didaar Dekho
Eid Hazaro Khushiya Laayi Hai
Her Musalmaan Ke Chehre Par
Khushi Chhalak Rahi Hai
Eid Ke Aate Hi Wo Dekho Band
Kaliya Khil Rahi Hai
Sevaiyo Ki Mithaas Her Insaan Ki
Zindgi Mein Mithaas Bhare
Her Kisi Ki Khwahish Puri Ho
Aao Hum Sab Yehi Duaa Kare

Hamara Kal Jo Gulami Ki Janjiro Mein Jakda Hua........ Tuesday, September 9th, 2008

Hamara Kal Jo Gulami Ki Janjiro Mein Jakda Hua
Khud Ki Dharti Par Ek Ajnabi Ek Praya Sa
Apna Hote Hue Bhi Uska Haq Nahi
Apne Hi Desh Mein Wo Muzzahidin Sa
Ye Kehta Hai Ye Hamara Desh Hai
Bolne Mein Rehne Mein Apne Riwazo Ko
Apni Sanaskrati Ko Bojh Ki Tarah Dhota Hua
Ye Kehta Hai Ye Hamara Desh Hai

Sard Raato Mein Jab Koi............. Thursday, September 11th, 2008

Sard Raato Mein Jab Koi
Khud Mein Hii Simta Sa Jaata Hain
Fate-Purane Kapdo Mein Jab
Uska Tan Naa Dhapa Jaata Hain
Kanp-Kapata Jab Wo Apne Dil Ko
Jhutee Dilashe Dekar Behalata Hain
Ye Sab Dekhkar Bhii Ae Khuda
Tujhko Un Par Reham Kyo Naa Aata Hain
Tere Saaye Mein Rehte Hain Wo
Fir Bhii Unse Tu Bekhbar Jai Kyu
Apni Khushiyo Kii Talash Mein Hain
Wo Unse Ab Tak Duur Hain Kyu
Unki Aankhon Mein Jo Sapna Hain
Wo Har Din Kyu Dhoondhla Hota Jaata Hain
Ye Sab Dekhkar Bhii Ae Khuda
Tujhko Un Par Reham Kyo Naa Aata Hain

Shikwaa Karu Bhii To Karu Kis Se............... Friday, September 12th, 2008

Shikwaa Karu Bhii To Karu Kis Se
Wo Jo Apna Tha Wo Mujhe Naa Mila
Tujhe Apna Banane Kii Aarzoo Thii Meri
Tu Kisi Aur Kaa Naseeb Tha Tujhse Kya Gila
Duniya To Begaani Hain Hasegi Mujh Par
Khoya Maine Hain Koi Apna Unka Kya Gaya
Dhoodhne Chala Tha Band Aankhoon Se Usko
Wo To Ekk Khawaab Tha Jo Poora Naa Hua
Shikwaa Karu Bhi To Karu Kis Se
Wo Jo Apna Tha Wo Mujhe Naa Mila

Happy Birthday............

It’s Your Birthday,
And I Can’t Be There,
But I’ll Send You,
A Special Birthday Wish,
And A Little Prayer.
Have A Happy Birthday.
I Hope That All Of Your
Birthday Wishes Come True.
May You Have A Great Time,
Today And Find Happiness
In Everything You Do.

Believe In You...............Saturday, September 13th, 2008

You’re A Beautiful Person,
And You Deserve A
Wonderful Birthday,
So I’m Sending You A
Birthday Wish.
Just Close Your Eyes
And Make A Wish,
And Soon Your Dreams
Will Come True.
You Only Have To Believe In You.

Jazbaato Kaa Wo Sailaab..............Monday, September 15th, 2008

Jazbaato Kaa Wo Sailaab
Aaj Fir Umad Aaya Hain
Jo Armaan Main Poore Naa Ker Paya
Aaj Ye Dil Unko Lekar Aaya Hain
Adhoori Khwaahishe Tute Huye Irraado Ko
Sabado Mein Piro Kar
Aaj Diggaj Fir Se Aap Sabhi Kii Mehfil Mein Aaya Hain
Kuchh Galti Ho To Bataiyega Jaroor

Wo Pal Mere Apne The...........Monday, September 15th, 2008

Wo Pal Mere Apne The
Jab Meri Aankhon Mein Kisi Ke Sapne The
Aaj Hum Akele Tanha Hain
Kabhii Koi Hamare Bhee Apne The
Chhup-2 Ke Har Roj Kaa Milna
Ekk Duje Ko Kehna Hal-A-Dil Apna
Milkar Zindaagi Ke Sapne Bunana
Lagta Hain Beeti Shaam Hii
Wo Pal Guzare The
Par Beet Gaya Hain Wo Zamana Bohat Pehle
Aaj Hum Akele Tanha Hain
Kabhi Koi Hamare Bhii Apne The
Sar Rakh Ke Uska Baaho Mein Sona
Khelna Uski Zulfo Se Baatein Karna
Dekhkar Hamare Milan Ko
Chand Sitaare Bhii Jalte The
Duniya Ke Ranj-O-Gum Se Door Ho Jate The
Aaj Hamari Baahein Sooni Hain
Aaj Hum Akele Tanha Hain
Kabhi Koi Hamare Bhii Apne The
Wo Pal Mere Apne The
Jab Meri Aankhon Mein Kisi Ke Sapne The
Aaj Hum Akele Tanha Hain
Kabhi Koi Hamare Bhii Apne The

Wahi Tadpan Wahi Deewangi Aaj Bhi Hai..........Monday, September 15th, 2008

Wahi Tadpan Wahi Deewangi Aaj Bhi Hai
Teri Justju Mere Ish Dil Mein Aaj Bhi Hai
Phulo Ko Todne Se Nahi Jaati Uaski Khushbu
Meri Saaso Mein Tu Mehakati Aaj Bhi Hai
Har Rut Sawan Ho Ye Bhi Mumkin Nahi Magar
Meri Aankhe Waqt-Bewaqt Barasti Aaj Bhi Hai
Tumne Nahi Kiya Koi Wada Lot Aane Ka Lekin
Tere Aane Ki Aas Par “Diggaj” Muntzir Aaj Bhi Hai
Wahi Tadpan Wahi Deewangi Aaj Bhi Hai
Teri Justju Mere Ish Dil Mein Aaj Bhi Hai

Kabhi Naa Socha.................. Friday, September 19th, 2008

Kya Acha Kya Bura Ye Maine Kabhi Naa Socha
Pyaar Kiya Magar Iska Maal-E-Gul Naa Socha
Tere Saath Rehte Bhi Bujh Naa Payi Tishangi Meri
Fir Bhi Ae Yaar Kisi Aur Ko Nazare Bad Naa Socha
Rukhsat Hua Tu Mujhse Meri Wafao Ko Bhulkar
Juu-E-Dard Doba Raha Par Tera Bura Naa Socha
Kiya Tumne Badnaam Mujhe Aur Mere Pyaar Ko
Magar Kabhi Tujhe Maine Ruswa Karna Naa Socha
Samjhaya Duniya Ne Aur Mere Waalid Ne Mujhko
Tujhe Gulaab Hi Samjha Lala-E-Sahara Naa Socha
Kya Acha Kya Bura Ye Maine Kabhi Naa Socha
Pyaar Kiya Magar Iska Maal-E-Gul Naa Socha

Humne Gulshan Mein Aesa Gulab Naa Dekha......Saturday, September 20th, 2008

Humne Gulshan Mein Aesa Gulab Naa Dekha
Kahi Uske Jaisa Aalam-E-Shabaab Naa Dekha
Roshan Hai Ye Jaha Uske Rang Rup Ke Ujalo Se
Maine Kabhi Zamee Par Mahtaab Naa Dekha
Zulafe Hai Uski Ya Hai Sawan Ki Kaali Ghataye
Bin Barish Ke Aesa Qaus-E-Qazah Naa Dekha
Navard-E-Ishq Mein Kya Hua Kya Bataye Hum
Kabhi Humne Yu Khud Ko Harata Naa Dekha
Paya Hai Pyaar Uska Aur Sab Kuch Khoya Hai
Fir Bhi Maine Mujh Jaisa Zaradaar Naa Dekha
Humne Gulshan Mein Aesa Gulab Naa Dekha
Kahi Humne Aesa Aalam-E-Shabaab Naa Dekha

Teri Yaadein Reh Reh Kar Rulati Hai Shaam-O-Sahar Mujhe.... Saturday, September 20th, 2008

Teri Yaadein Reh Reh Kar Rulati Hai Shaam-O-Sahar Mujhe
Chedkar Meri Mohabbat Ko Aur Kar Jati Hai Be-Karaar Mujhe
Andhera Hi Andhera Hai Meri Zindgi Mein Tere Jaane K Baad
Nazar Nahee Ate Hain Ab To Dur Tak Chiraag-E-Sahar Mujhe
Tum Thi To Gulasitaan Thi Meri Duniya Ab Har Aur Veerana Hai
Dekho Kya Kya Dikhati Hai Gardish-E-Shaam-O-Sahar Mujhe
Ish Duniya Mein Samjhega Kaun Mafhum-E-Gham-E-Ishq Ko
Tumne Bhi Ae Mere Yaar Kiya Hai Apne Dil Se Dar Badar Mujhe
Chod De Ab Nadaan Aas Uske Lot Aane Ki Ae Aarzu-E-Diggaj
Samjhta Tha Jise Apna Muqdar Wohi Kar Gaya Be-Qadr Mujhe
Teri Yaadein Reh Reh Kar Rulati Hai Shaam-O-Sahar Mujhe
Chedkar Meri Mohabbat Ko Aur Kar Jati Hai Be-Qaraar Mujhe

Bahut Hua Intezar .................Monday, September 22nd, 2008

Bahut Hua Intezar ab Aur
Naa Tadpao aakar Ab Tum
Iss Dil Ki Bekraari Mitao be
Tumhare bin Ab Raha Nahi Jaata
In Sagar Se Umde Jazbaato
Ko roka Nahi Jaata jo Duriya
Hai Beech Hum Dono Ke Ab In ko
Mitao meri Ish Zindgi Mein
Apne Pyaar Ka Rang Bhar Jao

Koi To Hain .........Tuesday, September 23rd, 2008

Koi To Hain Jo Nizaam-E-Hasti
Chala Raha Hain Wo Hee Khuda Hain
Dikhai Di Jo De Naa Nazar Bhee
Jo Aa Raha Hain Wo Hee Khuda Hain
Nazar Bhee Rakhe Samaatein Bhee
Wo Jaan Leta Hai Niyyatein Bhee
Jo Khaana Lega Sabur Mein
Jagmaga Raha Hain Wo Hii Khuda Hain
Talash Usko Naa Kar Butto Mein
Wo Hain Badalti Hui Ruto Mein
Jo Din Ko Raat Aur Raat Ko Din
Bana Raha Hai Wo Hi Khuda Hain
Koi To Hai Jo Nizaam-E-Hasti
Chala Raha Hai Wo Hi Khuda Hain
Dikhai Di Jo De Naa Nazar Bhii
Jo Aa Raha Hain Wo Hii Khuda Hain

Wo Waqt Wo Shaama Fir Kyun Nahi Aata...........Tuesday, September 23rd, 2008

Wo Waqt Wo Shaama Fir Kyun Nahi Aata
Wo Hasin Chehra Ab Nazar Kyun Nahi Aata
Phoolo Mein Aaj Bhee Wahi Tazgi Wahi Mehak Hain
Fir Aaj Wo Mujhe Apni Khushboo Se Kyu Nahi Lubhata
Wo Chaand Jo Kabhi Apni Chandni Se Sital Karta Tha
Aaj Mere Seene Ki Tapish Ko Kyu Nahi Bujhata
Aaj Meri Zindgi Veeran Hai Registaano Ki Tarah
Wo Ishse Pehle Ki Tarah Gulistan Kyu Nahi Kar Jata
Wo Waqt Wo Shaama Fir Kyu Nahi Aata
Wo Hasin Chehra Ab Nazar Kyu Nahi Aata

Apna Gam Leke Kahi Aur Naa Jaya Jaye............. Wednesday, September 24th, 2008

Apna Gam Leke Kahi Aur Naa Jaya Jaye
Ghar Mein Bikhari Hui Cheezo Ko Sajaya Jaye
Jin Charago Ko Hawao Kaa Koi Khof Nahi
Un Charago Ko Hawao Se Bachaya Jaaye
Baagh Mein Jaan Ke Aadaab Hua Karte Hain
Kis Titali Ko Naa Phoolo Se Udaya Jaaye
Ghar Se Masjid Hai Bohat Door Chalo Yu Kariye
Kisi Rote Hue Bachhe Ko Hasaya Jaaye
Apna Gum Leke Kahi Aur Naa Jaya Jaye
Ghar Mein Bikhari Hui Cheezo Ko Sajaya Jaye

Unke Dil Mein Basa Hain Mamta Kaa Sagar..... Wednesday, September 24th, 2008

Unke Dil Mein Basa Hain Mamta Kaa Sagar
Jab Bhee Koi Pyaar Se Bola Chalak Padti Hain Wo Gaagar
Kehne Ko Wo Badi Hain Humse Lekin Hain Sabhi Kee Yaar
Aesa Hee Hai Meri Ranju Maa Kaa Sara Pyaar
Dil Kee Bholi Par Baato Ko Natkhat
Hamari Muskilo Ko Door Kar Deti Hai Jhat-Pat
Sabhi Ki Sahayta Karne Ko Wo Har Pal Rehti Hai Taiyaar
Aesa Hi Hai Meri Ranju Maa Ka Sara Pyaar
Megha Aur Purva Hain Inke Do Phool
Par Maa Hum Ko Bhi Naa Jana Bhool
Hai Dua Ki Unki Zindaagi Mein Rahe Hamesha Bahaar
Aesa Hi Hai Meri Ranju Maa Ka Sara Pyaar
Unke Dil Mein Basa Hai Mamta Kaa Sagar
Jab Bhi Koi Pyaar Se Bola Chalak Padti Hai Wo Gaagar
Kehne Ko Wo Badi Hain Humse Lekin Hai Sabhi Kii Yaar
Aesa Hi Hai Meri Ranju Maa Kaa Sara Pyaar


Meri Khwahish Ab Naa Koi Bas Ekk Teri Jhalak De Maula......Wednesday, September 24th, 2008

Meri Khwahish Ab Naa Koi Bas Ekk Teri Jhalak De Maula
Aaftab Kee Roshni Naa De Chaadar-E-Mahataab De Maula
Kisko Samjhu Gair Yaha Par Kis Ko Samjhu Apna
Yahi Samjhne Ke Liye Mujhe Ekk Achi Soch De Maula
Aab-O-Hawa Bhi Kuch Aesi Badali Hai Koi Nahi Hai Apna
Ish Andheri Muskil Nagari Mein Tu Apna Saath De Maula
Har Pal Un Lamho Ko Sochkar Ghut-2 Kar Main Rota Hoon
Ahad-E-Guzishtaa Ki Yaado Se Mujhe Mukat Kar De Maula
Ish Matlab Parsat Duniya Mein Bas Tu Hi Hai Sirf Mera
Apne Kadamo Mein Hii Ab Tu Mujhko Jagah De Maula
Meri Khwahish Ab Naa Koi Bas Ab Teri Ekk Jhalak De Maula
Aaftab Kii Roshni Naa De Chaadar-E-Mahataab De Maula

Charaagh-E-Chisth Shah-E-Auliya Ghareeb Nawaaz.... Wednesday, September 24th, 2008

Charaagh-E-Chisth Shah-E-Auliya Ghareeb Nawaaz
Bahaar-E-Anjum-E-Musfata Ghareeb Nawaaz
Suno Suno Mere Haajat Rawa Ghareeb Nawaz
Mein Day Raha Hoon Sada Per Sada Ghareeb Nawaz
Khawaja-E-Khawajgan Haami-E-Bekasa
Iljita Sun Lo Shah-E-Umam K Liyeah
Kerdo Kerdo Karam Murshid-E-Mohtaram
Tum Ko Bhaija Gaya Hai Karam K Liyeah
Kerdo Kerdo Karam Mere Khuwaja Piya
Ger Tum Naa Karo Gay To Karam Kaun Karay Ga
Jhooli Meri Tumhare Siwa Kaun Bharay Ga
Mere Khuwaja Piya Kerdo Kerdo Karam…
Tera Karam Nahi To Qayamat Hain Zindagi
Tera Karam Ho Jab To Salaamt Hain Zindagi
//kerdo Kerdo Karam Mere Khuwaja Piya
Kerdo Kerdo Karam Murshid E Mohtaram
Tum Ko Bhaija Gaya Hai Karam K Liyeah
Hai Tumhari Talab Haasil-E-Bandagi
Is Say Barh Ker Nahi Hai Ibadat Koi
Mere Sajday Hein Ey Khuwaja Hind-Al-Wali
Bus Tumhare He Naqsh-E-Qadam K Liyeah
Noor-E-Shah-E-Najaf Mere Khuwaja Piya
Tere Chaukhat Pay Waliyon Nai Sajda Kia
Khaaliq-E-Dojahaan Say Yeah Rutba Mila
Tere Darbaar Faiz-O-Karam K Liyeah
Shah-E-Ajmer Mera Masiha (Messiah) Hai Tu
Dard Mandoon Ke Dukh Ka Madawa Hai Tu
Teri Nisbat Ka Daman Rahay Haath Mein
Bus Dawa Hai Yeah He Ranj-O-Gham K Liyeah
Kamraan? Hath Hai Sayyad-E-Mehrbaan
Hai Tera Kaam Khuwaja Khata Poshiyan
Laaj Rakhna Fana Ki Moeen-E-Jahaan
Hashr Mein Taajdaar-E-Haram K Liyeah

Khushio Se Saji Saji Phulo Ki Wo Raat.........Wednesday, September 24th, 2008

Khushio Se Saji Saji Phulo Ki Wo Raat
Yaad Aati Hai Mujhe Wo Meri Suhagraat
Mera Wo Uske Rukh Se Ghunghat Uthana
Mere Dekhte Hi Uska Nazare Churaana
Chum Kar Uski Aankho Ko Seene Se Lagana
Hui Thi Us Din Hamari Zindgi Ki Nayi Suruaat
Yaad Aati Hai Mujhe Wo Meri Suhagraat
Uske Surkh Hontho Ki Laali Chuarana
Baato Hi Baato Mein Hadd Se Guzar Jana
Aanchal Mein Uske Sar Ko Chhupaana
Un Do Zisamo Ka Ek Ho Jaana
Madham-2 Si Dhadkane Wo Pighalte Jazbaat
Yaad Aati Hai Mujhe Wo Meri Suhagraat
Kuch Hi Palo Mein Sab Kuch Badal Jana
Apni Ungaliyo Se Uske Sar Ko Sehlana
Bikhare Hue Un Lamho Ko Ko Sametna
Usse Wo Pyaari-2 Baatein Karna
Ye Koi Kavita Nahi Bas Mere The Ehsaas
Yaad Aati Hai Mujhe Wo Meri Suhagraat
Khushiyo Se Sajji Saij Phulo Ki Wo Raat
Yaad Aati Hai Mujhe Wo Meri Suhagraat


Dil Mein Prit Lagai Ke Tu Chala Gaya Pardesh...........Wednesday, September 24th, 2008

Dil Mein Prit Lagai Ke Tu Chala Gaya Pardesh
Bankar Teri Ranjhan Firu Pehan Jogan Ka Bhesh
Subah Hui Fir Shaam Hui Tu Aaya Naa Tera Sandesh
Raah Tak-2 Ankhiyaa Thak Gayi Tu Chala Gaya Kis Desh
Diya-Baati Jale Hai Main Bhi Jalu Hun Uske Sang-2
Virah Ki Aag Ab Bujhe Naahi Har Pal Tora Hi Andesh
Barkha Barse Jham-2 Karti Meri Peed Ko Aur Badhaye Hai
Ab Sata Naa-O-More Preetam Ab Aur Naa De Reesh
Khushiya Ho Ya Dukh Koi Fark Mujh Kuch Naahi Pade Hai
Tut Gayi Hai Aas Mori Sab Kuch Lut Main Hua Darvesh


Aankho Mein Numi Dil Mein Khalish.......... wednesday, September 24th, 2008

Aankho Mein Numi Dil Mein Khalish
Usse Pyaar Kar Ke Meri Halat Aesi Kiyu Hai
Khuda Ki Is Kaynat Mein Lakho Insan Hai Magar
Mujhe Usi Se Mohabbat Kiyu Hai
Kha Kha Kar Dhokhe Fir Bhi Main Sambhalta Nahi
Mujhe Us Par Itna Bharosa Kiyu Hai
Ae Khuda Ek Gila Tujhse Bhee Mujhko
Jaha Dil Se Apnapan Na Ho Wo Dikhave Ke Rishte Tu Banta Kiyu Hai
Aankho Mein Numi Dil Mein Khalish
Tujhe Pyaar Kar Ke Meri Halat Aesi Kiyu Hai

Wo Nahi Aaj Pass Mere Fir Bhee Kya Gum Hain........Thursday, September 25th, 2008

Wo Nahi Aaj Pass Mere Fir Bhee Kya Gum Hain
Aaj Veeraan Hain Duniya Hamari Kya Gum Hain
Hamare Ghar Ko Ujada Kisi Aur Kaa Ghar Basaya
Wo Kisi Aur Kaa Naseeb Ban Gayi Kya Gum Hain
Kiya Hai Apno Ne Hii Aatish-E-Pinhaan Mujh Par
Kar Le Ab To Agar Dushman Bhi Kya Gum Hain
Ahad-E-Guzishtaa Kii Yaado Ke Saath Hii Jee Lunga
Ahal-E-Vafaa Kisi Ko Yaha Aati Nahi Kya Gum Hain
Kaza Hai Sar Pe Tera Janaza Bhii Uthne Ko Hain Diggaj
In Sab Se Be-Khabar Wo Hai Bethi Kya Gum Hain
Wo Nahi Aaj Pass Mere Fir Bhii Kya Gum Hain
Aaj Veeraan Hai Duniya Hamari Kya Gum Hain

Zare Zare Mein Basta Hain Wo, Uski Yahi Pehchaan Hain..... Thursday, September 25th, 2008

Zare Zare Mein Basta Hain Wo, Uski Yahi Pehchaan Hain
Ish Duniyah Mein Sabse Uncha, Sirf Alaah Ka Naam Hain
Din Mein Suraj Raaton Mein Jo Chaand Bankar Hain Chamkta
Jo Hain Hawao Mein Charo Dishao Mein,Jo Chalata Garidh-E-Ayam Hain
Ish Duniyah Mein Sabse Uncha,Sirf Alaah Ka Naam Hain….
Uski Qurbat Mein Hain Kasish Anokhi Jo Aaya Uska Ho Gayaa
Jo Rakhta Hain Hamein Apne Dil Mein Uske Kadamo Mein Hamara Maqaam Hain
Ish Duniyah Mein Sabse Uncha,Sirf Alaah Ka Naam Hain….
Apne Bando Par Reham Hain Karta Har Mushkil Hamari Dur Wo Karta
Har Marz Uske Naam Se Dur Ho ,Wo Aab-E-Baqaa-E-Dawaam Hain
Ish Duniyah Mein Sabse Uncha,Sirf Alaah Ka Naam Hain….
Sirf Wo Hi Ish Duniyah Mein Tera Usse Rakh Matlab Ae Muraad-E-Diggaj
Har Khushi Tujhe Bakhshega Wo Hi,Aman Aur Khushhali Jiska Paigaam Hain
Ish Duniyah Mein Sabse Uncha,Sirf Alaah Ka Naam Hain….
Zarre Zarre Mein Basta Hain Wo,Uski Yahi Pehchaan Hain
Ish Duniyah Mein Sabse Uncha,Sirf Alaah Ka Naam Hain

Mohabbat Ki Hai Humne Husn Ke Shikaar Hain Hum.......Thursday, September 25th, 2008

Mohabbat Ki Hai Humne Husn Ke Shikaar Hain Hum
Tut Kar Bikhre Hain Har Su Wo Dil-E-Zaar Hain Hum
Gairo Ka Kya Har Baar Apno Ne Hi Saath Mere Daga Ki Hain
Udaya Gaya Jise Har Kadam Raste Ka Wahi Ghubaar Hain Hum
Gumaan Hain Mere Humdum Ko Khud Ki Jalwah-Giri Par Bahut
Pyaar Hain Usese Is Liye Chhup Hain Varna Angaar Hain Hum
Hasrat-O-Ghum Ka Mara Hu Sataya Gaye Hu Duniyah Se Varna
Ishq To Hamare Dil Bhi Zinda Hain Mohabbbat Ke Hisaar Hain Hum
Dasht-O-Dar Naa Samjho Ae Mere Humnafs Tum Diggaj Ko
Agar Aa Jao Tum Fir Se Pass Mere To Gulzaar Hain Hum

Badalo Ka Chupke Se Aana...........Thursday, September 25th, 2008

Badalo Ka Chupke Se Aana
Badalo Ka Chupke Se Jana
Dharti Ye Pyaasi Tarase
Barse Se Ye Kyu Naa Barse
Ghan-2 Va Badra Barso To Zara
Ho Bundo Ke Ghungru Bandhe Aaja Re Sawan
Malhaar Gaaye Koyal, Nache Morr Ban Ban
Cham-2 Se Aana, Madhuban Mehakana
Rut Ke Mukhde Se Ghunghat Sarkana
Jhan-2 Va Badra Barso To Zara
Sun Ae Pawan Tu,Hain Bada Be-Dardi
Kahe Naa Laaye Badra, Kyu Der Kar Di
Zara Pyaar Se Jao, Badal Ko Bulao
Badal Se Kehna, Aese Naa Satao
Papihe Ki Pihu-2 Gunje To Zara
Badalo Ka Chupke Se Aana
Badalo Ka Chupke Se Jana
Dharti Ye Pyaasi Tarase
Barse Se Ye Kyu Naa Barse
Ghan-2 Va Badra Barso To Zara

Jeewan Mein Sukh Paane Kee To Sabko Hain Trishna...Friday, September 26th, 2008

Jeewan Mein Sukh Paane Kee To Sabko Hain Trishna
Kaam Kee Trishna Daam Kee Trishna Naam Kee Hain Trishna
Jeewan Mein Sukh Paane Kee To Sabko Hain Trishna
Kaam Kee Trishna Daam Kee Trishna Naam Kee Hain Trishna
Anokhi Pyaas Hain Ye Trishna Mann.O Kii Aas Hain Ye Trishna
Madhur Vishwas Hain Ye Trishna Bandhi Hain Saans Mein Ye Trishna
Kaali-2 Raat Ko Prabhat Kii Hain Trishna
Aaye Jo Prabhat Usko Saanjh Kii Hain Trishna
Aaye Jo Prabhat Usko Saanjh Kii Hain Trishna
Saanjh Kii Laali Ko Fir Kaali Raat Kii Hain Trishna
Mrig Jaise Dhoondhe Jeevan Bhar Kya Hain Ye Trishna
Anokhi Pyaas Hain Ye Trishna Mann.O Kii Aas Hain Ye Trishna
Madhur Vishwas Hain Ye Trishna Bandhi Hain Saans Mein Ye Trishna
Bhawaro Mein Phoolo Ki Trishna Se Pagalpan Chhaya
Laakh Bujhai Pyaas Magar Na Chain Kabhi Hain Paaya
Laakh Bujhai Pyaas Magar Na Chain Kabhi Hain Paaya
Bhawar Ke Jaise Ghoome Fir Bhi Meete Naa Ye Trishna
Saara Jag Bhula Hain Kiski Sach Mein Hain Trishna
Anokhi Pyaas Hain Ye Trishna Mann.O Ki Aas Hain Ye Trishna
Madhur Vishwas Hain Ye Trishna Bandhi Hain Saans Mein Ye Trishna

Tere Hi Charche Hai Har Jagah Har Mehfil Mein...........Friday, September 26th, 2008

Tere Hi Charche Hai Har Jagah Har Mehfil Mein
Teri Surat Basi Hai Har Ek Dil Mein
Aarzu Hai Teri Sabhi Ko Jevin Mein
Teri Chahat Se Logo Ka Ye Lagav Kya Kahiye
Tera Ye Husn Ye Shabab Kya Kahiy
Teri Aankho Ka Bhi Koi Jawab Nahi
Nashe Mein Hu Magar Pee Maine Sharab Nahi
Asar Hai Ye Teri Mohabbat Ka Tabiat Meri Kharab Nahi
Punam Ka Wo Ujala Mahatab Kya Kahiye
Tera Ye Husn Ye Shabab Kya Kahiye
Jab Tu Chalti Hai Balkha Ke Kehar Dhati Hai
Mand-2 Si Teri Hassi Mere Hosh Bhi Le Jati Hai
Kiya Hai Tumne Aesa Jadu Har Aur Sirf Tu Hi Nazar Aati Hai
Tujhe Dekhkar Mosam Ka Ye Bigda Mizaz Kya Kahiye
Tera Ye Husn Ye Shabab Kya Kahiye
Tera Ye Husn Ye Shabab Kya Kahiye
Gulshan Mein Khilta Gulab Kya Kahiye

Aankhon Ko Ekk Naya Sapna Dikhaya Yaar Ne......Saturday, September 27th, 2008 .

Aankhon Ko Ekk Naya Sapna Dikhaya Yaar Ne
Apne Pyaar Mein Pagal Banaya Yaar Ne
Uske Husn Ke Aage Hamari Kuchh Naa Chali
Muhabbat Kaa Aesa Jadoo Chalaya Yaar Ne
Chain Cheena Usne Hamara Neende Bhii Gayi
Ajab Si Is Uljhan Mein Fasaya Yaar Ne
Aab-O-Taabi Aesi Ki Jisne Bhii Usko Dekha
Usko Apna Deewana Hain Banaya Yaar Ne
Ishq Ki Galiyo Mein The Wo Bade Mashoor
Diggaj Ko Bhi Mashoor Karaya Yaar Ne

Ab Tu Nahi Bas Tere Hee Afsaane Hain....... Saturday, September 27th, 2008

Ab Tu Nahi Bas Tere Hee Afsaane Hain
Ab Talak Hum Tere Pyaar Mein Deewane Hain
Tere Chehre Par Un Kaali-2 Zulfo Kaa Udna
Usko Suljhane Mein Tera Khud Kaa Uljhana
Aur Mera Tere Chand Se Mukhde Ko Takna
In Adao Se Hum Ab Ekk Dum Begaane Hain
Ab Tu Nahi Bas Tere Hi Afsaane Hain
Anjuman Ki Wo Meri Teri Baatein
Seh Thi Rangeen Wo Dheemi-2 Barsatein
Simat Kar Ekk Duje Kii Baaho Mein Guzari Thii Wo Raatein
Ab Kuch Nahi Bas Door Tak Veerane Hain
Ab Tu Nahi Bas Tere Hi Afsaane Hain
Phoolo Se Mehakta Sitaaro Se Saja Ek Ghar Hoga
Hum Tum Honge Kareeb Kya Khushnuma Wo Pal Hoga
Naa Pata Tha Kabhi Ye Khwab Bhi Poora Na Hoga
Ab To Teri Yaadein Hai Aur Ye Taraane Hai
Ab Tu Nahi Bas Tere Hii Afsaane Hain
Ab Tu Nahi Bas Tere Hi Afsaane Hain
Ab Talak Hum Tere Pyaar Mein Deewane Hain

Ye Hasin Nagma Aaj Tu Mujhe Gungunane De........ Saturday, September 27th, 2008

Ye Hasin Nagma Aaj Tu Mujhe Gungunane De
Pyaar Mein Jeene De Mujhe Is Mein Hi Mar Jane De
Sadiyo Se Zindgi Guzari Hai Tanhaiyo Mein
Ek Anjaan Se Saaye Mein Ghum Ki Parchaiyo Mein
Dil Dukhaya Hai Bohat Mosam Ki Angdaiyo Mein
Aaj To Tu Mujhe Is Barish Mein Bheeg Jaane De
Ye Hasin Nagma Aaj Tu Mujhe Gungunane De
Jab-2 Chalti Thi Purvai Hamein Bada Jalati Thi
Ghumad-2 Kar Kaali Ghataye Bohat Darati Thi
Tu Mere Pass Nahi Is Ki Mujhe Yaad Dilati Thi
Tere Hone K Ehsaas Ko Haqikat Mein Badal Jane De
Ye Hasin Nagma Aaj Tu Mujhe Gungunane De
Muddato Baad Aaj Hum Fir Mile Hai Tumse
Aarzu Yahi Hai K Yuhi Lipte Rahe Tumse
Rehna Dil Mein Mere Yahi Guzarish Hai Tumse
Unki Mehfil Mein Kuch Pal Aur “Diggaj” Ko Beetane De
Ye Hasin Nagma Aaj Tu Mujhe Gungunane De

Chandni Raat Ho Tum Mere Pass Ho..........Tuesday, September 30th, 2008

Chandni Raat Ho Tum Mere Pass Ho
Tum Kaho Main Sunu Main Kahu Tum Suno
Door Ho Dooriya Pyaar Ki Baat Ho Chandni Raat Ho
Sardiyo Ka Wo Bheega-2 Shamaa
Sirf Hum Tum Ho Aur Koi Na Ho Yaha
Chandni Ki Chadar Tale
Hum Kuch Is Tarah Mile
Ekk Duje Ko Bas Toot Kar Pyaar Kare
Pighalte Hum Dono K Jazbaat Ho
Chandni Raat Ho
Tere Chehre Ki Masoomiyat
Khwab Hai Ye Mera Ya Hai Haqikat
Tere Lab Se Jo Mere Lab Takraye Hai
Behke Hai Is Kadar Fir Na Sambhal Paye Hai
Teri Zulaf Jo Tere Kandhe Pe Laehrai Hai
Bas Teri Hi Surat Meri Aankho Pe Chhayi Hai
Mere Kismat Mein Hamesha Aesi Raat Ho Chandni Raat Ho
Aankho Mein Sapne Liye
Zindgi Ki Raaho Par Hum Chale
Har Mushkilo Ko Hum Door Karte Chale
Ek Haseen Aashiyaan Hum Dono Ka Ho
Usme Hum Apne Pyaar K Rang Bhare
Tum Jaisa Agar Humsafar Saath Ho Chandni Raat Ho
Chandni Raat Ho Tum Mere Pass Ho
Tum Kaho Main Sunu Main Kahu Tum Suno
Door Ho Dooriya Pyaar Ki Baat Ho Chandni Raat Ho

Kaise Batau Kaisi Wo Suhaagraat Hogi................Wednesday, October 1st, 2008

Kaise Batau Kaisi Wo Suhaagraat Hogi
Wo Haseen Us Pal Mere Saath Hogi
Aankhon Mein Kai Chamakte Sitare Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge
Phoolo Se Sajji Sej Aur Mehka-2 Shamaa
Mand-2 Si Roshni Aur Chand Utarega Yaha
Ghoonghat Mein Lukta-Chhipta Chehra
Unki Aankho K Ishaare Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge
Wo Jab Sharma K Meri Baaho Mein Aa Jayegi
Meri Har Hasrat Toot Kar Us Par Bikhar Jayegi
Door Hogi Do Zismo Ki Dooriya
Jab Wo Pass Hamare Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge
Jab Unke Labo Ko Mere Lab Chhu Jayenge
Ek Meethe-2 Nashe Mein Hum Dono Kho Jayenge
Pyaar Hi Pyaar Hoga Darniya Hamare
Us Pyaar Ki Kashti K Na Koi Kinare Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge
Us Madbhari Raat Ka Aesa Dilkash Savera Hoga
Bikhare-2 Unke Kesu Bikhra Wo Basera Hoga
Unki Angdaai Se Wo Pal Aur Bhi Suhane Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge

Ish Dil Mein Kai Hasratein Hai,..............Monday, October 6th, 2008

Ish Dil Mein Kai Hasratein Hai,
In Sab Ka Main Kya Karu
Kab Tak Jeeyu Ghut-2 Kar
Kab Tak Dil Ki Bekraari Zinda Rakhu
Lakho Rang Hai Ish Duniya Mein,
Husn Wale Bhi Hai Bohat
Ban Jau Main Kisi Aur Ka,
Ya Teri Chahat Ko Zinda Rakhu
Sochta Hu Ki Kya Tu Kabhi
Aayega Mujhse Pyaar Karega
Us Aas K Pinjare Ko Tod Du
Ya Use Zinda Rakhu
Kya Bharosa Zindgi Ka Kab
Saath Chhod Jaaye
Kab Tak Maangkar Khuda Se
Zindgi Khud Ko Zinda Rakhu
Ish Dil Mein Kai Hasratein Hai,
In Sab Ka Main Kya Karu
Kab Tak Jeeyu Ghut-2 Kar,
Kab Tak Dil Ki Bekraari Zinda Rakhu

Guzre Hue Lamho Ki Kasak Dil Mein Basi Hai......Monday, October 6th, 2008

Guzre Hue Lamho Ki Kasak Dil Mein Basi Hai
Teri Mohabbat Ab Tak Mere Dil Mein Basi Hai
Teri Hassi,Teri Baatein Wo Chandni Raatein
Tu Yaadein Bankar Har Pal Mere Mann Mein Basi Hai
Maine Tujhko Chaha Par Tujhko Naa Paaya
Fir Bhi Tu Mujh Mein Dhadakti Hai Tu Mujh Mein Basi Hai
Tere Hontho Ki Sabnam Tere Gaalo Ki Laali
Unko Churane Ki Tujhko Paane Ki Chahat Dil Mein Basi Hai
Guzre Hue Lamho Ki Kasak Dil Mein Basi Hai
Teri Mohabbat Ab Tak Mere Dil Mein Basi Hai

Mere Pyaar Ko Tum Kab Samjh Paogi ........... Tuesday, October 7th, 2008

Mere Pyaar Ko Tum Kab Samjh Paogi
Kab Manogi Mujhe Apna Kab Apna Banaogi
Raah Takta Hu Main Teri Hurdum
Kab Mere Haatho Ki Lakeero Mein Tum Samaogi
Din To Fir Bhi Yuhi Mere Bina Kat Jayega
Tumhari Raatein Ab Bin Mere Naa Kat Payegi
Reh-2 Kar Sandal Si Hawa Chand Ki Thandak
Chhukar Tujhe Har Pal Meri Yaad Dilayegi
Ek Din Tujhe Mere Pass Aana Hoga
Mankar Mujhe Apna Banana Hoga
Bin Mere Ab Tum Bhi Naa Reh Paogi
Meri Sadaye Tujhe Mere Pass Le Aayegi

Dosti ka ek samandar...... October 9th, 2008

Dosti Ka Ek Samandar
Dosti Ka Ek Samandar
Anginat Sahil Wafa Ke
Apne Seene Mein Chhupaye
Jaane Kab Se Beh Raha Tha
Daffaatan Ek Mauj Ubhari
Motiyo Ki Shakal Mein
Dhalte Hue Alfaaz Jumle
Khud-B-Khud Dil Se Uthe
Lab Tak Gaye Dil Ka Har
Ek Bol Lafazo Ne Uthaya
Sikar Ka Har Lamha Ek
Jumle Se Takaraya
Bikhar K Kho Gaya
Gum Ka Rezaa Rezaa
Kuch Baato Ki Rou Mein Beh Gaya

Zindgi Ki Raaho Par Is Kadar Hum Ladkhadaye Hai ...........Friday, October 10th, 2008

Zindgi Ki Raaho Par Is Kadar Hum Ladkhadaye Hai
Apno Se Hi Hum Har Waqt Kiye Gaye Praaye Hai
Darte-2 Rakhe The Kadam Humne Mohabbat Ki Rasto Par
Dil Lagane Ki Khata Ki Tab Hi To Ye Saza Paaye Hai
Tarasti Hui Meri Rooh Ko Kabhi Pyaar Ki Chhav Na Mili
Mohabbat K Nahi Aaj Mujh Par Ghumo K Saaye Hai
Fir Bhi Kambhakhat Ye Dil Umeed Nahi Chhodta Hai
Is Nadani Ki Wajah Se Hi Hum Har Waqt Thokre Khaye Hai
Shayad Hi Kabhi Kisi Pal Tuhje Hamara Khayal Aaya Hoga
Magar Hum To Teri Yaado K Saaye Mein Hi Har Pal Beetaye Hai
Teri Bewfai Mein Bhi “Diggaj” Ko Teri Wafa Nazar Aati Hai
Tujhe Paa Lene Ki Hasrat Ab Talak Dil Mein Basaye HaThursday,

Mujhe Sirf Tumhari Hi Muzaafaat Achi Lagti Hai....... Tuesday, October 14th, 2008

Mujhe Sirf Tumhari Hi Muzaafaat Achi Lagti Hai
Mujhe Khwabo Ki Ye Mulaqat Achi Lagti Hai
Apne Rukh Se Naa Hatao Zulfe Bikhar Jaane Do
Chhupate-Nikalte Chand Ki Raat Achi Lagti Hai
Jab Bhi Tumhari Band Palke Jhukti Hai Uth Jati Hai
Mujhe Khilte Hue Phoolo Ki Ye Baat Achi Lagti Hai
Jab Bhi Kuch Keh Deti Ho Tum Apne Surkh Hontho Se
Tumhare Laabo Ki Wo Harkiyaat Achi Lagti Hai
Tumhari Har Baat Mujhe Badi Achi Lagti Hai
Mujhe Khwabo Ki Ye Mulaqat Achi Lagti Hai

kash har roj ye baat hoti ............Wednesday, October 15th, 2008

Kaash Har Roz Ye Baat Hoti
Khwabo Mein Unse Mulaqat Hoti
Kitni Haseen Hoti Zindgi Meri
Agar Wo Hamare Saath Hoti
Uski Surat Kuch Pehchani Si Hai
Aankho Mein Ab Wo Paani Si Hai
Lagti Fir Bhi Ab Tak Hamari Si Hai
Kaash Is Sawan Mein Aesi Barsaat Hoti
Khwabo Mein Unse Mulaqat Hoti

Ish Dil Mein Kai Hasratein Hai...................Monday, October 6th, 2008 .

Ish Dil Mein Kai Hasratein Hai,
In Sab Ka Main Kya Karu
Kab Tak Jeeyu Ghut-2 Kar
Kab Tak Dil Ki Bekraari Zinda Rakhu
Lakho Rang Hai Ish Duniya Mein,
Husn Wale Bhi Hai Bohat
Ban Jau Main Kisi Aur Ka,
Ya Teri Chahat Ko Zinda Rakhu
Sochta Hu Ki Kya Tu Kabhi
Aayega Mujhse Pyaar Karega
Us Aas K Pinjare Ko Tod Du
Ya Use Zinda Rakhu
Kya Bharosa Zindgi Ka Kab
Saath Chhod Jaaye
Kab Tak Maangkar Khuda Se
Zindgi Khud Ko Zinda Rakhu
Ish Dil Mein Kai Hasratein Hai,
In Sab Ka Main Kya Karu
Kab Tak Jeeyu Ghut-2 Kar,
Kab Tak Dil Ki Bekraari Zinda Rakhu

Ish jazbah-a-dil ko samjhaye kaun....... - 5th January 2006, 11:52 AM Pyaare dosto bethe-2 aaj kalam chali aur ye likh diya pata nahi kaisa likha hai

Tujhe paana mumkin nahi ab
Par Ish jazbah-a-dil ko samjhaye kaun

Seene ki ish tapish ko
Ab aaker bhujhaye kaun
Kitni naayaab hai mohabbat meri
Ishke daam tujhe bataye kaun

Bankar rafeeq mere tumne
Jo dagaa ki hai saath mere
Wafa bhi kuch cheez hai ish duniya mein
Tumhe wafaa sikhaye kaun

Sabq mil gaya hamein
Tujhse dil lagane ka
Magar ish aankho k sailaab ko
Ab rok paaye kaun

Tujhe paana mumkin nahi ab
Par Ish jazbah-a-dil ko samjhaye kaun


Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha


Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"

*@*Teri mujhse jo hui thi pehali mukaqat yaad hai*@*

Humko wo waqt wo aalam teri har baat yaad hai
Teri mujhse jo hui thi pehali mukaqat yaad hai

Tumse milne ki chahat aur ek khalish si dil mein
Tumhe dekhkar bigade jo mere halaat yaad hai


Aagaaz-e-ulaft bhi wo kitna dilkash aur suhana tha
Pyaar mein wo mere machalte hue jazbaat yaad hai


Tera wo mand-2 muskurana Wo aankho ki shararat
Tere samne zubaa ka pisalna apni aghalat yaad hai


Humko wo waqt wo aalam teri har baat yaad hai
Teri mujhse jo hui thi pehali mukaqat yaad hai



"Diggaj Dave"

Ye kaisa tera pyaar hai.......

Ye kaisa tera pyaar hai Ye kaisa tera pyaar hai
Tere paas hote hue bhi Naa mit paati dil ki pyaas hai
Ye kaisa tera pyaar hai Ye kaisa tera pyaar hai
Dekhta hu jo tere mere baare mein
Kyu poora naa ho paata mera wo sapna hai
Nazdeekiya hote hue bhi Kyu mujhko doori sa ehsaas hai
Ye kaisa tera pyaar hai Ye kaisa tera pyaar hai
Tere saaye mein rehte hue bhi mujhko Kyu apnapan nahi lagta hai
Itne kareeb hote hue bhi mera mann Har pal tere pyaar ko tarasta hai
Naa jaane kyu mujhko Naa ho pata puranta ka ehsaas hai
Ye kaisa tera pyaar hai Ye kaisa tera pyaar hai
Ye kaisa tera pyaar hai Ye kaisa tera pyaar hai
Tere paas hote hue bhi Naa mit paati dil ki pyaas hai Ye kaisa tera pyaar hai 

Diggaj Dave

09 January 2010

Radhe krishna Gopal Krishna


Jai Radha Rani Ki
Nischay Prem Prati.ti te Binay Kare Sanmaan
Tehi Ke Karaj Sakal Subh Siddh Kare Ghanshayam