03 April 2011

main vo chamakta sitara na tha .......



Tum Kah do Na main tumhara na tha
Tumne chaha vo sahara na tha
jo tumhari zindgi main roshni karta
main vo chamakta sitara na tha

Diggaj dave
June 9 2010 6:54 PM

26 February 2011

Ek ajab si uljhan mein fasse hai tere jane k baad...

Ek ajab si uljhan mein fasse hai tere jane k baad
Roye hai to kabhi khud pe hasse hai tere jane k baad....

Har jafa meri berukhi ko tu yu sehta raha ae humdum
Ab jakar pyaar ko hum samjhe hai tere jane k baad

Ye kaisi jhaddi lagi hai barish ki ke thamti nahi
aaj in aankho k abrr barse hai tere jane k baad


Written by Diggaj Dave
Fri, Nov 27, 2009 at 1:50 PM

09 August 2010

Ek Khayal : Mat Jana Un Pattharile Path Par


Maine Kaha Tha Tumhe
Mat Jana Un Pattharile Path Par
Nange Paav Aese Chal Kar
Lekin Tum Par Ek Dhun Sawar thi
Usko Paane Ki, Us Pyaar Ki
Wo Khud Bhi Kaha Poora Hai
Jo Tumhe Poora Karta
Berang Tumhare Sapno Ko,Sunhara Karta
Khushi Reh Paayi Tumhari Bas Pal Bhar
Maine Kaha Tha Tumhe
Mat Jana Un Pattharile Path Par

08 August 2010

chalo ik baar phir se ajanabii ban jaaye.N ham dono.n.....Sahir Ludhianvi Jee

chalo ik baar phir se ajanabii ban jaaye.N ham dono.n


na mai.n tum se ko_ii ummiid rakhuu.N dil navaazii kii
na tum merii taraf dekho Galat a.ndaaz nazaro.n se
na mere dil kii dha.Dakan la.Dakha.Daaye merii baato.n me.n
na zaahir ho tumhaarii kashmakash kaa raaz nazaro.n se


ta'arruf rog ho jaaye to us ko bhuulanaa behatar
ta'alluq bojh ban jaaye to us ko to.Danaa achchhaa
vo afsaanaa jise takamiil tak laanaa na ho mumakin
use ek Khuubasuurat mo.D dekar chho.Danaa achchhaa


chalo ik baar phir se ajanabii ban jaaye.N ham dono.n



tumhe.n bhii ko_ii ulajhan rokatii hai peshakadamii se
mujhe bhii log kahate hai.n ki ye jalave paraaye hai.n
mere hamaraah bhii rusavaaiyaa.N hai.n mere maazii kii
tumhaare saath bhii guzarii huii raato.n ke saaye hai.n


14 July 2010

Raat Bhar Khayalo Se Kaise Hum Guzara Kare ,Ek Raat Qayamat Ki Hamari Zindgi Mein Bhi Aaye

Raat Bhar Khayalo Se Kaise Hum Guzara Kare
Ek Raat Qayamat Ki Hamari Zindgi Mein Bhi Aaye

Uske Pehloo Mein Raat Is Qadar Beete
Unki Baaho Mein Mera Har Savera Ho

Sarrd Si Un Subaho Mein Unke Saanso Ki Garmi
Kap-Kapati Meri Aahoo Ko Ruhani Sa Ehsaas de

Pyaar Se Lazarte Un Hontho Ko Mere Hontho Se Chhu lu
Pee Jau Mehkashi K Pyaale Ek Hi Raftaar Mein

Utare Na Mujh Par Se Unki Mohhbat Ki Khumari
Salamat rahe Unki Meri Yaari...............

*Ishq Ibadat*
Jiske Liye Ishq Ibadat Hai
Janam-O-Janam Ki Chahat Hai
Na Is Ke Chain Hai Ek Pal
Na Kahi Iske Rahat Hai....

Written by Diggaj Dave 4th April 2010

02 May 2010

Khehne ko to tera mera koi rishta nahi

Khehne ko to tera mera koi rishta nahi
Ye bhi sach hai k bin tere
ye dil kahi lagta nahi
Kyu na hum isko rashmo mein jod le
Zindgi ko apni ek hi raaho pe mod le
Akele ye safar ab mera kat.ta nahi
Khehne ko to tera mera koi rishta nahi


Magar sochta hu kab talak main chup rahu
Akele hi tanhaiyo k ye pal kyu sahu
Jab lakeer pyaar ki in haatho mein likhai hai
To fir jazbaato k izhaar mein kya burai hai
Bin tere aur koi dil ko jachta nahi
Khehne ko to tera mera koi rishta nahi


Vaise to deewane honge bohat tumhare
Duniya mein honge insaan mujhse bhi pyaare
mujh jaisi baat tumhe na kahi nazar aayegi
zamane ki har khushi tu pyaar mein mere payegi
Itna bhi koi kisi pe marta nahi
Khehne ko to tera mera koi rishta nahi


Ab aur na kuch jayada bas ek baat kehta hu
Umar bhar k liye main tera saath chahta hu
Apne hi rang mein meri dar-o-diwar ko rang jao na
Mohabbat ki us bhini-2 khushboo se

mera ghar aangan mehakao na
Mere ehsaaso par bas mera rehta nahi
Khehne ko to tera mera koi rishta nahi

***************
"Shab-e-qurbat k wo hasiin pal,NA jane kaha ho gaye wo ojhal....Diggaj Dave"

20 April 2010

aa sajan more naynan main



aa sajan more naynan main so palak dhap tohe du ..
na main dekhu auran ko na tohe dekhan du ......??????

04 April 2010

Unse Kehna Door Sahi Fir Bhi Wo Pass Hamare Rehte Hai,


Unse Kehna Door Sahi Fir Bhi Wo Pass Hamare Rehte Hai, 
Ab Tak Mere Dil Mein Wo Unke Andaaz Purane Rehte  hai

02 April 2010

raat bhar khayalo me kaise hum gujara kare

Raat Bhar Khayalo Se Kaise Hum Guzara Kare
Ek Raat Qayamat Ki Hamari Zindgi Mein Bhi Aaye

Uske Pehloo Mein Raat Is Qadar Beete
Unki Baaho Mein Mera Har Savera Ho

Sarrd Si Un Subaho Mein Unke Saanso Ki Garmi
Kap-Kapati Meri Aahoo Ko Ruhani Sa Ehsaas de

Pyaar Se Lazarte Un Hontho Ko Mere Hontho Se Chhu lu
Pee Jau Mehkashi K Pyaale Ek Hi Raftaar Mein

Utare Na Mujh Par Se Unki Mohhbat Ki Khumari
Salamat rahe Unki Meri Yaari


*Ishq Ibadat*
Jiske Liye Ishq Ibadat Hai
Janam-O-Janam Ki Chahat Hai
Na Is Ke Chain Hai Ek Pal
Na Kahi Iske Rahat Hai....

                                                    Written By Diggaj Dave

               
jine liye kya chahiye bus tu aur tera pyaar 21 july 2010


passionate lover 21 july

20 March 2010

Hum rahe bhi to badalte hue mausam kii tarah

Hum rahe bhi to badalte hue mausam kii tarah
terii aa.Nkho.n me.n ko_ii aks thaharaa apnaa




Gar baazii ishq ki bazii hai jo chahe laga do dar kaisaa
gar jiit gaye to kya kahnaa haare bhii to bazii maat nahii...



                                                      Written by Diggaj Dave 19/03/10 ,4:30PM





04 March 2010

bus jee rahe har pal dil ko dukhaye huye

ek muddat ho chali hai tujhko aajmaye hue,
do pal teri zulfo k tale beetaye huye,
un jhuki palko kibaat hi kuch alag thi,
Rahte hai jinko tum hum par beechaye hue,
Ab neend hai na chain hai in aankho ko ,
bus jee rahe har pal dil ko dukhaye huye

18 January 2010

ja raha tha dur mujse mera vo hmsaaya.....

Un lamho ko un kadmo ko
Main rok nahi paya
Ja raha tha door mujhse
Mera wo humsaaya

Bheegi si unki palke thi
Ye aankhe bhi kuch num thi
Ho raha tha kya ye sab
Main samjh nahi paaya
Ja raha tha door mujhse
Mera wo humsaaya

Wo shaam kuch ajnabi si thi
ye saansein kuch thami si thi
hokar bhi wo mere saath na thi
bikhare-2 lafzo mein mein usne
aakhir wo sab keh dala
Ja raha tha door mujhse
Mera wo humsaaya

Aesa bhi nahi use pyaar na tha
Mujhe par use ethbaar na tha
Halat uski bhi achi na thi
aas uske ruk jane ki
bachhi na thi
Khilne se pehle hi is gulshan ka
Phool tha murjhaya
Ja raha tha door mujhse
Mera wo humsaaya 


Bas aakhiri wo lamha tha
chal diya wo us raah
Jahaan usko chalna tha
Kuch mud-2 kar
thoda ruk-2 kar aankho
se moti giraa raha tha
Ek pal mein in aankho se ojhal
Wo chehra kahi dhoondhala gaya
Chala gaya wo door mujhse
mera wo humsaaya


written by Diggaj Dave

15 January 2010

Teri meri mulaqaat ki.....

Teri meri mulaqaat ki
Wo bhegi subah barsat ki
yaad kar fariyaad kar
fir lot aaye wo pal
Teri baaho mein Panaho mein
Fir se mujhe le chal
Mil jaye manzil mere jazbaat ki
Wo bhegi subah barsat ki


Ek duje ki aankho mein aankhe dal
jo pal humne beetaye the
Pehli dafa jab tum mujhse milne aaye the
bheega tha shamaa har aur khushiyo k saaye the
Fir Baat yaad aayi teri meri har baat ki
Wo bhegi subah barsat ki....


Geela geela sa kuch sarrd sa mausam tha
Kap-kapate hue humne ek duje ko chhua tha
Tere gaalo se lekar labo tak ka safar maine kiya tha
Romaniyat bhare lamho aur tere saath ki
Wo bhegi subah barsat ki....


Un do badan ka ek sa ho jana,
Tere chehre aur husn k alawa kuch nazar na aana
Kitna haseeN tha apna milan ae meri jane-jana
Gunjti hai kaano mein ab bhi wo hassi teri muskurahat bhi,
Wo bhegi subah barsat ki....


Teri meri mulaqaat ki
Wo bhegi subah barsat ki
yaad kar fariyaad kar
fir lot aaye wo pal
Teri baaho mein Panaho mein
Fir se mujhe le chal
Mil jaye manzil mere jazbaat ki
Wo bhegi subah barsat ki

Har pal rehti jiski justju hai

Har pal rehti jiski justju hai,
Paa lu usko ye aarzoo hai,
Dil ki ye dhadkane meri,
Kehti mujhko ab yahi,
Kaise batau main...
Bin kahe na reh pau main,
Tujhse hi zindgi mein shine hai,
Tu hi meri valentine hai....

Teri saanso se judi meri saanso ki mala hai,
Beh rahi hamare beech mein pyar ki jo dhara hai,
Umar bhar k liye agar saath tera mile,
Yuhi pyar se gar ye karwa chale,
To ho jaye ye rishta divine hai,
Tut Hi meri valentine hai...

Ye nasha kaisa teri chahat ka hai,
Khilaya tumne hi to ye phool muhabbat ka hai,
Hai ye illtezaa pass mere rehna sada,
Humsafar tujhsa mujhe hai milna kaha,
Tu hai agar to zindgi fine hai,
Tu hi meri valentine hai..

Kya tohfa du tumhe itna paisa nahi,
Ek dil hai mera ye bhi sasta nahi,
Tumhara hu main mujhko apna lo tum,
Apni baaho mein kahi mujhko chhupa lo tum,
Jaan hai tu meri lifeline hai,
Tu hi meri valentine hai..


Written by Diggaj Dave

Ab tak hai javaaN aankho mein mere..............

Ab tak hai javaaN aankho mein mere
Wo pal,lamha wo ghadi
Milne aayi thi aasmano se
Mujhse ek haseeN si pari
Bhulao kaise main un mulaqato ko
Baatein wo yours & mine ki
Yaadein wo peechle valentine ki

Zindgi mein thi khushiya charsu
Hue jab se the unse ru-b-ru
Badla tha shama Badla main bhi tha
Rehti thi unke hi pyaar ki ku-b-ku
Main jo bhi aaj hu unke dum se hu
Haqikat hai yahi meri Luck line ki
Yaadein wo peechle valentine ki

Bheeni-2 si un shrdh raato mein
Tera haath dena mere haatho mein
Kap-kapate hontho se kehna wo tera
Aana wo tera meri baaho mein
Madham dhadkane badhna saanso ka
Sab khumari hai ye lab-e-wine ki
Yaadein wo peechle valentine ki


Dhoondhla hai wo pal dhoondhali tasveer hai
Aaj judaa hai jo is raanjhe ki heer hai
Iska ghum nahi ki wo pass mere nahi
Ab dooriya hi shayad meri taqdeer hai
Poonam nahi ab sirf andheri raatein hai
Wo chand nahi jisne meri zindgi shine ki
Yaadein wo peechle valentine ki


Teri zulfo k tale raat guzarti to kya baat hoti.......

Teri zulfo k tale raat guzarti to kya baat hoti
khusnasiib hote wo pal,mere nasib mein ye saugaat hoti...

Teri aankho k ishaare hote
pyar karne k ye bahane hote
Teri baaho mein sote Teri baaho mein khote
Agar khuda k haatho kuch aesi qaramat hoti
khusnasiib hote wo pal,mere nasib mein ye saugaat hoti....

Meri justju mere armaano ka aesa savera hota
Meri zindgi mein tum hoti door ye andhera hota
Nayi umiido nayi unchaiyo par mann mera hota
Jag-mag sitaaro si meri har shaam har raat hoti
khusnasiib hote wo pal,mere nasib mein ye saugaat hoti....

Waqt ko ye hona manzoor na tha
meri kismat ka sitara hi shayad kamzor tha
Main nahi tera humdum koi aur tha
SehraaoN mein bhi kaise barsat hoti
khusnasiib hote wo pal,mere nasib mein ye saugaat hoti....

.Tannha Meri Harr Shaam Hai.............Monday, August 18th, 2008

Tannha Meri Harr Shaam Hai
Sehmi-2 Si Hai Raat
Din Ko Ekk Pal Chain Mile Naa
Badi Muskil Se Kat Ti Hai Raat
Tujh Bin Kuchh Naa Acha Lage
Ekk Pall Lage Jaise Sadiya 100saal
Dhundti Hai Tujhko Meri Aankhe
Har Mehfil Harr Nazaron Mein
Bechaini Si Rehti Hai Mujhko
Jabb Tujhko Paas Naa Pata Hu
Yaad Satati Hai Jabb Teri Mujhko
In Aankho Ko Rokk Naa Pata Hu
Moti Jaise Aansoon Ko
Paani Ki Tarah Bahata Hu….

Door Takk Naa Koi Apnna Hai...........Monday, August 18th, 2008

Door Takk Naa Koi Apnna Hai
Oas Ki Tarah Dhundhla Hua Mera Sapnna Hai
Nazar Jaha Takk Bhi Jaati Hai Meri
Ajnabiyo Se Bhari Yeh Duniya Hai
Harr Mehfil Meri Tanha Hai
Meri Aur Mere Gumm Ki Duniya Hai
Sarrd Raatein Hai Aur Tim-Timate Taare Hai
Hum Bhi Khudd Mein Hi Simat Se Jaate Hai
Mere Khwabo Mein Saaye Ki Tarah Chale Aate Hai
Kuch Pal Tharte Hai Aur Chale Jaate Hai
Oas Ki Dhundhlahat Mein Firr Kahi Kho Jaate Hai
Kuch Pal Hum Bhi Bebas Ho Jaate Hai
Kuch Aansoo Bahate Hai
Aur Hum Bhi Us Oas Mein Kahi Gum Ho Jaate Hai….

Jo Kabhi Meri Aankhon Mein Raha Karti Thii............ Tuesday, August 19th, 2008

Jo Kabhi Meri Aankhon Mein Raha Karti Thii
Wo Aansoon Bankar Meri Aankhon Se Nikal Aayi Hain
Shayad Khudgarz Tha Pyaar Uska
Jo Meri Zindaagi Mein Aaj Aesi Ghadi Aayi Hain
Pyaar Ko Uske Samjha Tha Main Naseeb Apna
Magar Uski Mohabbat To Badnaseebi Bankar
Meri Zindaagi Par Chhayi Hain

Hamare Muskratein Chehre Ke Pichhe Bhii Kai Raaz Chhupe Hain...........Tuesday, August 19th, 2008

Hamare Muskratein Chehre Ke Pichhe Bhii Kai Raaz Chhupe Hain
Baahar Se Sukhe Huye Lagte Hain
Magar Andar Se Ghaav Abhi Gehre Hain
Naa Chhedo Inhe Kahi Ye Nasoor Naa Ho Jaaye
Bhul Chuke Hain Jise Kahi Wo Fir Se Yaad Naa Aa Jaaye