13 January 2010

Badalo Ka Chupke Se Aana...........Thursday, September 25th, 2008

Badalo Ka Chupke Se Aana
Badalo Ka Chupke Se Jana
Dharti Ye Pyaasi Tarase
Barse Se Ye Kyu Naa Barse
Ghan-2 Va Badra Barso To Zara
Ho Bundo Ke Ghungru Bandhe Aaja Re Sawan
Malhaar Gaaye Koyal, Nache Morr Ban Ban
Cham-2 Se Aana, Madhuban Mehakana
Rut Ke Mukhde Se Ghunghat Sarkana
Jhan-2 Va Badra Barso To Zara
Sun Ae Pawan Tu,Hain Bada Be-Dardi
Kahe Naa Laaye Badra, Kyu Der Kar Di
Zara Pyaar Se Jao, Badal Ko Bulao
Badal Se Kehna, Aese Naa Satao
Papihe Ki Pihu-2 Gunje To Zara
Badalo Ka Chupke Se Aana
Badalo Ka Chupke Se Jana
Dharti Ye Pyaasi Tarase
Barse Se Ye Kyu Naa Barse
Ghan-2 Va Badra Barso To Zara

Jeewan Mein Sukh Paane Kee To Sabko Hain Trishna...Friday, September 26th, 2008

Jeewan Mein Sukh Paane Kee To Sabko Hain Trishna
Kaam Kee Trishna Daam Kee Trishna Naam Kee Hain Trishna
Jeewan Mein Sukh Paane Kee To Sabko Hain Trishna
Kaam Kee Trishna Daam Kee Trishna Naam Kee Hain Trishna
Anokhi Pyaas Hain Ye Trishna Mann.O Kii Aas Hain Ye Trishna
Madhur Vishwas Hain Ye Trishna Bandhi Hain Saans Mein Ye Trishna
Kaali-2 Raat Ko Prabhat Kii Hain Trishna
Aaye Jo Prabhat Usko Saanjh Kii Hain Trishna
Aaye Jo Prabhat Usko Saanjh Kii Hain Trishna
Saanjh Kii Laali Ko Fir Kaali Raat Kii Hain Trishna
Mrig Jaise Dhoondhe Jeevan Bhar Kya Hain Ye Trishna
Anokhi Pyaas Hain Ye Trishna Mann.O Kii Aas Hain Ye Trishna
Madhur Vishwas Hain Ye Trishna Bandhi Hain Saans Mein Ye Trishna
Bhawaro Mein Phoolo Ki Trishna Se Pagalpan Chhaya
Laakh Bujhai Pyaas Magar Na Chain Kabhi Hain Paaya
Laakh Bujhai Pyaas Magar Na Chain Kabhi Hain Paaya
Bhawar Ke Jaise Ghoome Fir Bhi Meete Naa Ye Trishna
Saara Jag Bhula Hain Kiski Sach Mein Hain Trishna
Anokhi Pyaas Hain Ye Trishna Mann.O Ki Aas Hain Ye Trishna
Madhur Vishwas Hain Ye Trishna Bandhi Hain Saans Mein Ye Trishna

Tere Hi Charche Hai Har Jagah Har Mehfil Mein...........Friday, September 26th, 2008

Tere Hi Charche Hai Har Jagah Har Mehfil Mein
Teri Surat Basi Hai Har Ek Dil Mein
Aarzu Hai Teri Sabhi Ko Jevin Mein
Teri Chahat Se Logo Ka Ye Lagav Kya Kahiye
Tera Ye Husn Ye Shabab Kya Kahiy
Teri Aankho Ka Bhi Koi Jawab Nahi
Nashe Mein Hu Magar Pee Maine Sharab Nahi
Asar Hai Ye Teri Mohabbat Ka Tabiat Meri Kharab Nahi
Punam Ka Wo Ujala Mahatab Kya Kahiye
Tera Ye Husn Ye Shabab Kya Kahiye
Jab Tu Chalti Hai Balkha Ke Kehar Dhati Hai
Mand-2 Si Teri Hassi Mere Hosh Bhi Le Jati Hai
Kiya Hai Tumne Aesa Jadu Har Aur Sirf Tu Hi Nazar Aati Hai
Tujhe Dekhkar Mosam Ka Ye Bigda Mizaz Kya Kahiye
Tera Ye Husn Ye Shabab Kya Kahiye
Tera Ye Husn Ye Shabab Kya Kahiye
Gulshan Mein Khilta Gulab Kya Kahiye

Aankhon Ko Ekk Naya Sapna Dikhaya Yaar Ne......Saturday, September 27th, 2008 .

Aankhon Ko Ekk Naya Sapna Dikhaya Yaar Ne
Apne Pyaar Mein Pagal Banaya Yaar Ne
Uske Husn Ke Aage Hamari Kuchh Naa Chali
Muhabbat Kaa Aesa Jadoo Chalaya Yaar Ne
Chain Cheena Usne Hamara Neende Bhii Gayi
Ajab Si Is Uljhan Mein Fasaya Yaar Ne
Aab-O-Taabi Aesi Ki Jisne Bhii Usko Dekha
Usko Apna Deewana Hain Banaya Yaar Ne
Ishq Ki Galiyo Mein The Wo Bade Mashoor
Diggaj Ko Bhi Mashoor Karaya Yaar Ne

Ab Tu Nahi Bas Tere Hee Afsaane Hain....... Saturday, September 27th, 2008

Ab Tu Nahi Bas Tere Hee Afsaane Hain
Ab Talak Hum Tere Pyaar Mein Deewane Hain
Tere Chehre Par Un Kaali-2 Zulfo Kaa Udna
Usko Suljhane Mein Tera Khud Kaa Uljhana
Aur Mera Tere Chand Se Mukhde Ko Takna
In Adao Se Hum Ab Ekk Dum Begaane Hain
Ab Tu Nahi Bas Tere Hi Afsaane Hain
Anjuman Ki Wo Meri Teri Baatein
Seh Thi Rangeen Wo Dheemi-2 Barsatein
Simat Kar Ekk Duje Kii Baaho Mein Guzari Thii Wo Raatein
Ab Kuch Nahi Bas Door Tak Veerane Hain
Ab Tu Nahi Bas Tere Hi Afsaane Hain
Phoolo Se Mehakta Sitaaro Se Saja Ek Ghar Hoga
Hum Tum Honge Kareeb Kya Khushnuma Wo Pal Hoga
Naa Pata Tha Kabhi Ye Khwab Bhi Poora Na Hoga
Ab To Teri Yaadein Hai Aur Ye Taraane Hai
Ab Tu Nahi Bas Tere Hii Afsaane Hain
Ab Tu Nahi Bas Tere Hi Afsaane Hain
Ab Talak Hum Tere Pyaar Mein Deewane Hain

Ye Hasin Nagma Aaj Tu Mujhe Gungunane De........ Saturday, September 27th, 2008

Ye Hasin Nagma Aaj Tu Mujhe Gungunane De
Pyaar Mein Jeene De Mujhe Is Mein Hi Mar Jane De
Sadiyo Se Zindgi Guzari Hai Tanhaiyo Mein
Ek Anjaan Se Saaye Mein Ghum Ki Parchaiyo Mein
Dil Dukhaya Hai Bohat Mosam Ki Angdaiyo Mein
Aaj To Tu Mujhe Is Barish Mein Bheeg Jaane De
Ye Hasin Nagma Aaj Tu Mujhe Gungunane De
Jab-2 Chalti Thi Purvai Hamein Bada Jalati Thi
Ghumad-2 Kar Kaali Ghataye Bohat Darati Thi
Tu Mere Pass Nahi Is Ki Mujhe Yaad Dilati Thi
Tere Hone K Ehsaas Ko Haqikat Mein Badal Jane De
Ye Hasin Nagma Aaj Tu Mujhe Gungunane De
Muddato Baad Aaj Hum Fir Mile Hai Tumse
Aarzu Yahi Hai K Yuhi Lipte Rahe Tumse
Rehna Dil Mein Mere Yahi Guzarish Hai Tumse
Unki Mehfil Mein Kuch Pal Aur “Diggaj” Ko Beetane De
Ye Hasin Nagma Aaj Tu Mujhe Gungunane De

Chandni Raat Ho Tum Mere Pass Ho..........Tuesday, September 30th, 2008

Chandni Raat Ho Tum Mere Pass Ho
Tum Kaho Main Sunu Main Kahu Tum Suno
Door Ho Dooriya Pyaar Ki Baat Ho Chandni Raat Ho
Sardiyo Ka Wo Bheega-2 Shamaa
Sirf Hum Tum Ho Aur Koi Na Ho Yaha
Chandni Ki Chadar Tale
Hum Kuch Is Tarah Mile
Ekk Duje Ko Bas Toot Kar Pyaar Kare
Pighalte Hum Dono K Jazbaat Ho
Chandni Raat Ho
Tere Chehre Ki Masoomiyat
Khwab Hai Ye Mera Ya Hai Haqikat
Tere Lab Se Jo Mere Lab Takraye Hai
Behke Hai Is Kadar Fir Na Sambhal Paye Hai
Teri Zulaf Jo Tere Kandhe Pe Laehrai Hai
Bas Teri Hi Surat Meri Aankho Pe Chhayi Hai
Mere Kismat Mein Hamesha Aesi Raat Ho Chandni Raat Ho
Aankho Mein Sapne Liye
Zindgi Ki Raaho Par Hum Chale
Har Mushkilo Ko Hum Door Karte Chale
Ek Haseen Aashiyaan Hum Dono Ka Ho
Usme Hum Apne Pyaar K Rang Bhare
Tum Jaisa Agar Humsafar Saath Ho Chandni Raat Ho
Chandni Raat Ho Tum Mere Pass Ho
Tum Kaho Main Sunu Main Kahu Tum Suno
Door Ho Dooriya Pyaar Ki Baat Ho Chandni Raat Ho

Kaise Batau Kaisi Wo Suhaagraat Hogi................Wednesday, October 1st, 2008

Kaise Batau Kaisi Wo Suhaagraat Hogi
Wo Haseen Us Pal Mere Saath Hogi
Aankhon Mein Kai Chamakte Sitare Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge
Phoolo Se Sajji Sej Aur Mehka-2 Shamaa
Mand-2 Si Roshni Aur Chand Utarega Yaha
Ghoonghat Mein Lukta-Chhipta Chehra
Unki Aankho K Ishaare Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge
Wo Jab Sharma K Meri Baaho Mein Aa Jayegi
Meri Har Hasrat Toot Kar Us Par Bikhar Jayegi
Door Hogi Do Zismo Ki Dooriya
Jab Wo Pass Hamare Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge
Jab Unke Labo Ko Mere Lab Chhu Jayenge
Ek Meethe-2 Nashe Mein Hum Dono Kho Jayenge
Pyaar Hi Pyaar Hoga Darniya Hamare
Us Pyaar Ki Kashti K Na Koi Kinare Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge
Us Madbhari Raat Ka Aesa Dilkash Savera Hoga
Bikhare-2 Unke Kesu Bikhra Wo Basera Hoga
Unki Angdaai Se Wo Pal Aur Bhi Suhane Honge
Har Taraf Bas Unke Hi Nazare Honge

Ish Dil Mein Kai Hasratein Hai,..............Monday, October 6th, 2008

Ish Dil Mein Kai Hasratein Hai,
In Sab Ka Main Kya Karu
Kab Tak Jeeyu Ghut-2 Kar
Kab Tak Dil Ki Bekraari Zinda Rakhu
Lakho Rang Hai Ish Duniya Mein,
Husn Wale Bhi Hai Bohat
Ban Jau Main Kisi Aur Ka,
Ya Teri Chahat Ko Zinda Rakhu
Sochta Hu Ki Kya Tu Kabhi
Aayega Mujhse Pyaar Karega
Us Aas K Pinjare Ko Tod Du
Ya Use Zinda Rakhu
Kya Bharosa Zindgi Ka Kab
Saath Chhod Jaaye
Kab Tak Maangkar Khuda Se
Zindgi Khud Ko Zinda Rakhu
Ish Dil Mein Kai Hasratein Hai,
In Sab Ka Main Kya Karu
Kab Tak Jeeyu Ghut-2 Kar,
Kab Tak Dil Ki Bekraari Zinda Rakhu

Guzre Hue Lamho Ki Kasak Dil Mein Basi Hai......Monday, October 6th, 2008

Guzre Hue Lamho Ki Kasak Dil Mein Basi Hai
Teri Mohabbat Ab Tak Mere Dil Mein Basi Hai
Teri Hassi,Teri Baatein Wo Chandni Raatein
Tu Yaadein Bankar Har Pal Mere Mann Mein Basi Hai
Maine Tujhko Chaha Par Tujhko Naa Paaya
Fir Bhi Tu Mujh Mein Dhadakti Hai Tu Mujh Mein Basi Hai
Tere Hontho Ki Sabnam Tere Gaalo Ki Laali
Unko Churane Ki Tujhko Paane Ki Chahat Dil Mein Basi Hai
Guzre Hue Lamho Ki Kasak Dil Mein Basi Hai
Teri Mohabbat Ab Tak Mere Dil Mein Basi Hai

Mere Pyaar Ko Tum Kab Samjh Paogi ........... Tuesday, October 7th, 2008

Mere Pyaar Ko Tum Kab Samjh Paogi
Kab Manogi Mujhe Apna Kab Apna Banaogi
Raah Takta Hu Main Teri Hurdum
Kab Mere Haatho Ki Lakeero Mein Tum Samaogi
Din To Fir Bhi Yuhi Mere Bina Kat Jayega
Tumhari Raatein Ab Bin Mere Naa Kat Payegi
Reh-2 Kar Sandal Si Hawa Chand Ki Thandak
Chhukar Tujhe Har Pal Meri Yaad Dilayegi
Ek Din Tujhe Mere Pass Aana Hoga
Mankar Mujhe Apna Banana Hoga
Bin Mere Ab Tum Bhi Naa Reh Paogi
Meri Sadaye Tujhe Mere Pass Le Aayegi

Dosti ka ek samandar...... October 9th, 2008

Dosti Ka Ek Samandar
Dosti Ka Ek Samandar
Anginat Sahil Wafa Ke
Apne Seene Mein Chhupaye
Jaane Kab Se Beh Raha Tha
Daffaatan Ek Mauj Ubhari
Motiyo Ki Shakal Mein
Dhalte Hue Alfaaz Jumle
Khud-B-Khud Dil Se Uthe
Lab Tak Gaye Dil Ka Har
Ek Bol Lafazo Ne Uthaya
Sikar Ka Har Lamha Ek
Jumle Se Takaraya
Bikhar K Kho Gaya
Gum Ka Rezaa Rezaa
Kuch Baato Ki Rou Mein Beh Gaya

Zindgi Ki Raaho Par Is Kadar Hum Ladkhadaye Hai ...........Friday, October 10th, 2008

Zindgi Ki Raaho Par Is Kadar Hum Ladkhadaye Hai
Apno Se Hi Hum Har Waqt Kiye Gaye Praaye Hai
Darte-2 Rakhe The Kadam Humne Mohabbat Ki Rasto Par
Dil Lagane Ki Khata Ki Tab Hi To Ye Saza Paaye Hai
Tarasti Hui Meri Rooh Ko Kabhi Pyaar Ki Chhav Na Mili
Mohabbat K Nahi Aaj Mujh Par Ghumo K Saaye Hai
Fir Bhi Kambhakhat Ye Dil Umeed Nahi Chhodta Hai
Is Nadani Ki Wajah Se Hi Hum Har Waqt Thokre Khaye Hai
Shayad Hi Kabhi Kisi Pal Tuhje Hamara Khayal Aaya Hoga
Magar Hum To Teri Yaado K Saaye Mein Hi Har Pal Beetaye Hai
Teri Bewfai Mein Bhi “Diggaj” Ko Teri Wafa Nazar Aati Hai
Tujhe Paa Lene Ki Hasrat Ab Talak Dil Mein Basaye HaThursday,

Mujhe Sirf Tumhari Hi Muzaafaat Achi Lagti Hai....... Tuesday, October 14th, 2008

Mujhe Sirf Tumhari Hi Muzaafaat Achi Lagti Hai
Mujhe Khwabo Ki Ye Mulaqat Achi Lagti Hai
Apne Rukh Se Naa Hatao Zulfe Bikhar Jaane Do
Chhupate-Nikalte Chand Ki Raat Achi Lagti Hai
Jab Bhi Tumhari Band Palke Jhukti Hai Uth Jati Hai
Mujhe Khilte Hue Phoolo Ki Ye Baat Achi Lagti Hai
Jab Bhi Kuch Keh Deti Ho Tum Apne Surkh Hontho Se
Tumhare Laabo Ki Wo Harkiyaat Achi Lagti Hai
Tumhari Har Baat Mujhe Badi Achi Lagti Hai
Mujhe Khwabo Ki Ye Mulaqat Achi Lagti Hai

kash har roj ye baat hoti ............Wednesday, October 15th, 2008

Kaash Har Roz Ye Baat Hoti
Khwabo Mein Unse Mulaqat Hoti
Kitni Haseen Hoti Zindgi Meri
Agar Wo Hamare Saath Hoti
Uski Surat Kuch Pehchani Si Hai
Aankho Mein Ab Wo Paani Si Hai
Lagti Fir Bhi Ab Tak Hamari Si Hai
Kaash Is Sawan Mein Aesi Barsaat Hoti
Khwabo Mein Unse Mulaqat Hoti

Ish Dil Mein Kai Hasratein Hai...................Monday, October 6th, 2008 .

Ish Dil Mein Kai Hasratein Hai,
In Sab Ka Main Kya Karu
Kab Tak Jeeyu Ghut-2 Kar
Kab Tak Dil Ki Bekraari Zinda Rakhu
Lakho Rang Hai Ish Duniya Mein,
Husn Wale Bhi Hai Bohat
Ban Jau Main Kisi Aur Ka,
Ya Teri Chahat Ko Zinda Rakhu
Sochta Hu Ki Kya Tu Kabhi
Aayega Mujhse Pyaar Karega
Us Aas K Pinjare Ko Tod Du
Ya Use Zinda Rakhu
Kya Bharosa Zindgi Ka Kab
Saath Chhod Jaaye
Kab Tak Maangkar Khuda Se
Zindgi Khud Ko Zinda Rakhu
Ish Dil Mein Kai Hasratein Hai,
In Sab Ka Main Kya Karu
Kab Tak Jeeyu Ghut-2 Kar,
Kab Tak Dil Ki Bekraari Zinda Rakhu

Ish jazbah-a-dil ko samjhaye kaun....... - 5th January 2006, 11:52 AM Pyaare dosto bethe-2 aaj kalam chali aur ye likh diya pata nahi kaisa likha hai

Tujhe paana mumkin nahi ab
Par Ish jazbah-a-dil ko samjhaye kaun

Seene ki ish tapish ko
Ab aaker bhujhaye kaun
Kitni naayaab hai mohabbat meri
Ishke daam tujhe bataye kaun

Bankar rafeeq mere tumne
Jo dagaa ki hai saath mere
Wafa bhi kuch cheez hai ish duniya mein
Tumhe wafaa sikhaye kaun

Sabq mil gaya hamein
Tujhse dil lagane ka
Magar ish aankho k sailaab ko
Ab rok paaye kaun

Tujhe paana mumkin nahi ab
Par Ish jazbah-a-dil ko samjhaye kaun


Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha


Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"

*@*Teri mujhse jo hui thi pehali mukaqat yaad hai*@*

Humko wo waqt wo aalam teri har baat yaad hai
Teri mujhse jo hui thi pehali mukaqat yaad hai

Tumse milne ki chahat aur ek khalish si dil mein
Tumhe dekhkar bigade jo mere halaat yaad hai


Aagaaz-e-ulaft bhi wo kitna dilkash aur suhana tha
Pyaar mein wo mere machalte hue jazbaat yaad hai


Tera wo mand-2 muskurana Wo aankho ki shararat
Tere samne zubaa ka pisalna apni aghalat yaad hai


Humko wo waqt wo aalam teri har baat yaad hai
Teri mujhse jo hui thi pehali mukaqat yaad hai



"Diggaj Dave"

Ye kaisa tera pyaar hai.......

Ye kaisa tera pyaar hai Ye kaisa tera pyaar hai
Tere paas hote hue bhi Naa mit paati dil ki pyaas hai
Ye kaisa tera pyaar hai Ye kaisa tera pyaar hai
Dekhta hu jo tere mere baare mein
Kyu poora naa ho paata mera wo sapna hai
Nazdeekiya hote hue bhi Kyu mujhko doori sa ehsaas hai
Ye kaisa tera pyaar hai Ye kaisa tera pyaar hai
Tere saaye mein rehte hue bhi mujhko Kyu apnapan nahi lagta hai
Itne kareeb hote hue bhi mera mann Har pal tere pyaar ko tarasta hai
Naa jaane kyu mujhko Naa ho pata puranta ka ehsaas hai
Ye kaisa tera pyaar hai Ye kaisa tera pyaar hai
Ye kaisa tera pyaar hai Ye kaisa tera pyaar hai
Tere paas hote hue bhi Naa mit paati dil ki pyaas hai Ye kaisa tera pyaar hai 

Diggaj Dave

09 January 2010

Radhe krishna Gopal Krishna


Jai Radha Rani Ki
Nischay Prem Prati.ti te Binay Kare Sanmaan
Tehi Ke Karaj Sakal Subh Siddh Kare Ghanshayam